Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdul Majeed Hairat's Photo'

Abdul Majeed Hairat

1901 - 1964

Sher of Abdul Majeed Hairat

ye shabāb-e-husn ye husn-e-shabāb

hashr tak un par yahī aalam rahe

ye shabab-e-husn ye husn-e-shabab

hashr tak un par yahi aalam rahe

sub.h ye fikr ki ho jaa.e shaam

shaam ko ye ki sahar ho jaa.e

subh ye fikr ki ho jae sham

sham ko ye ki sahar ho jae

koī ḳhush ho ki ḳhafā ho 'hairat'

ham to har baat kharī kahte haiñ

koi KHush ho ki KHafa ho 'hairat'

hum to har baat khari kahte hain

sach to ye hai ki nadāmat huī

raaz baat kisī se kah ke

sach to ye hai ki nadamat hi hui

raaz ki baat kisi se kah ke

bahr-e-bīmār davā hai na duā

kyā ise chāragarī kahte haiñ

bahr-e-bimar dawa hai na dua

kya ise chaaragari kahte hain

ishq meñ ain hunar-mandī hai

sab jise be-hunarī kahte haiñ

ishq mein ain hunar-mandi hai

sab jise be-hunari kahte hain

'hairat' ke ġham-kade meñ ḳhushī guzar kahāñ

aap aa ga.e to raunaq-e-kāshāna ho ga.ī

'hairat' ke gham-kade mein KHushi ka guzar kahan

aap aa gae to raunaq-e-kashana ho gai

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now