Sher of Abhishek Shukla
maiñ sochtā huuñ bahut zindagī ke baare meñ
ye zindagī bhī mujhe soch kar na rah jaa.e
main sochta hun bahut zindagi ke bare mein
ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
terī āñkhoñ ke liye itnī sazā kaafī hai
aaj kī raat mujhe ḳhvāb meñ rotā huā dekh
teri aankhon ke liye itni saza kafi hai
aaj ki raat mujhe KHwab mein rota hua dekh
maiñ yuuñ hī nahīñ apnī hifāzat meñ lagā huuñ
mujh meñ kahīñ lagtā hai ki rakkhā huā tū hai
main yun hi nahin apni hifazat mein laga hun
mujh mein kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kabhī kabhī to ye vahshat bhī ham pe guzrī hai
ki dil ke saath hī dekhā hai Dūbnā shab kā
kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai
ki dil ke sath hi dekha hai Dubna shab ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne jab ḳhud kī taraf ġhaur se dekhā to khulā
mujh ko ik mere sivā koī pareshānī nahīñ
main ne jab KHud ki taraf ghaur se dekha to khula
mujh ko ek mere siwa koi pareshani nahin
-
Tag : pareshanii
vo ek din jo tujhe sochne meñ guzrā thā
tamām umr usī din kī tarjumānī hai
wo ek din jo tujhe sochne mein guzra tha
tamam umr usi din ki tarjumani hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us se kahnā ki dhuāñ dekhne laa.iq hogā
aag pahne hue maiñ jā.ūñgā paanī kī taraf
us se kahna ki dhuan dekhne laiq hoga
aag pahne hue main jaunga pani ki taraf
safar ke baad bhī zauq-e-safar na rah jaa.e
ḳhayāl o ḳhvāb meñ ab ke bhī ghar na rah jaa.e
TRANSLATION
Even after its over, a craving for journey should not remain,
Only in my desires and dreams, my home should not remain.
Sagar Akbarabadi
safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae
KHayal o KHwab mein ab ke bhi ghar na rah jae
TRANSLATION
Even after its over, a craving for journey should not remain,
Only in my desires and dreams, my home should not remain.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vahāñ pahle hī āvāzeñ bahut thiiñ
so maiñ ne chup karāyā ḳhāmushī ko
wahan pahle hi aawazen bahut thin
so main ne chup karaya KHamushi ko
maiñ choT kar to rahā huuñ havā ke māthe par
mazā to jab thā ki koī nishān bhī paḌtā
main choT kar to raha hun hawa ke mathe par
maza to jab tha ki koi nishan bhi paDta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye jo duniyā hai ise itnī ijāzat kab hai
ham pe apnī hī kisī baat kā ġhussa utrā
ye jo duniya hai ise itni ijazat kab hai
hum pe apni hi kisi baat ka ghussa utra
us se kahnā ki dhuāñ dekhne laa.eq hogā
aag pahne hue jā.uñgā maiñ paanī kī taraf
us se kahna ki dhuan dekhne laeq hoga
aag pahne hue jaunga main pani ki taraf
maqām-e-vasl to arz-o-samā ke biich meñ hai
maiñ is zamīn se niklūñ tū āsmāñ se nikal
maqam-e-wasl to arz-o-sama ke bich mein hai
main is zamin se niklun tu aasman se nikal
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamīñ jahān ke pīchhe paḌe raheñ kab tak
hamāre pīchhe kabhī ye jahān bhī paḌtā
hamin jahan ke pichhe paDe rahen kab tak
hamare pichhe kabhi ye jahan bhi paDta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye imtiyāz zarūrī hai ab ibādat meñ
vahī duā jo nazar kar rahī hai lab bhī kareñ
ye imtiyaz zaruri hai ab ibaadat mein
wahi dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chalte hue mujh meñ kahīñ Thahrā huā tū hai
rasta nahīñ manzil nahīñ achchhā huā tū hai
chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai
rasta nahin manzil nahin achchha hua tu hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab is ke ba.ad mirī quvvat-e-numū jaane
maiñ lauT aayā huuñ miTTī meñ gaaḌ kar ḳhud ko
ab is ke baad meri quwwat-e-numu jaane
main lauT aaya hun miTTi mein gaD kar KHud ko
jaane kyā kuchh ho chhupā tum meñ mohabbat ke sivā
ham tasallī ke liye phir se khagāleñge tumheñ
jaane kya kuchh ho chhupa tum mein mohabbat ke siwa
hum tasalli ke liye phir se khagalenge tumhein
-
Tag : WhatsApp
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām shahr pe ik ḳhāmushī musallat hai
ab aisā kar ki kisī din mirī zabāñ se nikal
tamam shahr pe ek KHamushi musallat hai
ab aisa kar ki kisi din meri zaban se nikal
-
Tag : Khamoshi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye jo ham taḳhlīq-e-jahān-e-nau meñ lage haiñ pāgal haiñ
duur se ham ko dekhne vaale haath baTā ham logoñ kā
ye jo hum taKHliq-e-jahan-e-nau mein lage hain pagal hain
dur se hum ko dekhne wale hath baTa hum logon ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shab bhar ik āvāz banā.ī sub.h huī to chīḳh paḌe
roz kā ik ma.amūl hai ab to ḳhvāb-zada ham logoñ kā
shab bhar ek aawaz banai subh hui to chiKH paDe
roz ka ek mamul hai ab to KHwab-zada hum logon ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na huā maiñ to vo kis darja pareshāñ hogā
mere hone kī ḳhabar jis ne uḌaa.ī hai bahut
na hua main to wo kis darja pareshan hoga
mere hone ki KHabar jis ne uDai hai bahut
ham vahshī the vahshat meñ bhī ghar se kabhī bāhar na rahe
jañgal jañgal phir bhī kitnā naam huā ham logoñ kā
hum wahshi the wahshat mein bhi ghar se kabhi bahar na rahe
jangal jangal phir bhi kitna nam hua hum logon ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download