Sher of Abid Wadood
ham faqīroñ kā pairahan hai dhuup
aur ye raat apnī chādar hai
hum faqiron ka pairahan hai dhup
aur ye raat apni chadar hai
tire hāthoñ meñ hai tirī qismat
tirī izzat tire hī kaam se hai
tere hathon mein hai teri qismat
teri izzat tere hi kaam se hai
maiñ bārishoñ meñ bahut bhīgtā rahā 'ābid'
sulagtī dhuup meñ ik chhat bahut zarūrī hai
main barishon mein bahut bhigta raha 'abid'
sulagti dhup mein ek chhat bahut zaruri hai
ab qafas aur gulistāñ meñ koī farq nahīñ
ham ko ḳhushbū kī talab hai ye sabā jāntī hai
ab qafas aur gulistan mein koi farq nahin
hum ko KHushbu ki talab hai ye saba jaanti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is e'tibār pe kaaTī hai ham ne umr-e-azīz
sahar kā vaqt ujāle bhī saath lā.egā
is e'tibar pe kaTi hai hum ne umr-e-aziz
sahar ka waqt ujale bhi sath laega
sab apne apne tarīqe se bhiik māñgte haiñ
koī ba-nām-e-mohabbat koī ba-jāma-e-ishq
sab apne apne tariqe se bhik mangte hain
koi ba-nam-e-mohabbat koi ba-jama-e-ishq
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī manzar bhī nahīñ achchhā lagā
ab ke ā.ankhoñ meñ hai vīrānī bahut
koi manzar bhi nahin achchha laga
ab ke aaankhon mein hai virani bahut
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yazīd-e-vaqt ne ab ke lagā.ī hai qadġhan
ki bhuul kar bhī na gaa.e koī tarāna-e-ishq
yazid-e-waqt ne ab ke lagai hai qadghan
ki bhul kar bhi na gae koi tarana-e-ishq
sar par gire makān kā malba hī rakh liyā
duniyā ke qīmtī sar-o-sāmān se ga.e
sar par gire makan ka malba hi rakh liya
duniya ke qimti sar-o-saman se gae
ham kisī sultāñ ke taabe nahīñ 'ābid-vadūd'
ham vo kahte haiñ jo apne dil pe hai guzrī huī
hum kisi sultan ke tabe nahin 'abid-wadud'
hum wo kahte hain jo apne dil pe hai guzri hui
shahr ye sāyoñ kā hai is meñ banī-ādam kahāñ
ab kisī sūrat yahāñ insān honā chāhiye
shahr ye sayon ka hai is mein bani-adam kahan
ab kisi surat yahan insan hona chahiye
magar ye tīrgī jaane kā naam letī nahīñ
maiñ nuur bāñTtā soz-e-nihāñ kī zad meñ huuñ
magar ye tirgi jaane ka nam leti nahin
main nur banTta soz-e-nihan ki zad mein hun