Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Fareed's Photo'

Ahmad Fareed

1970

Sher of Ahmad Fareed

zindagī! tujh munāfiq bhī koī kyā hogā

terā shahkār huuñ aur terā maarā huā huuñ

zindagi! tujh sa munafiq bhi koi kya hoga

tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun

zaḳhm gintā huuñ shab-e-hijr meñ aur sochtā huuñ

maiñ to apnā bhī na thā kaise tumhārā huā huuñ

zaKHm ginta hun shab-e-hijr mein aur sochta hun

main to apna bhi na tha kaise tumhaara hua hun

sāmne phir mire apne haiñ so maiñ jāntā huuñ

jiit bhī jā.ūñ to ye jañg maiñ haarā huā huuñ

samne phir mere apne hain so main jaanta hun

jit bhi jaun to ye jang main haara hua hun

apnā saaya to maiñ dariyā meñ bahā aayā thā

kaun phir bhaag rahā hai mire pīchhe pīchhe

apna saya to main dariya mein baha aaya tha

kaun phir bhag raha hai mere pichhe pichhe

sab pe khulne hameñ aarzū shāyad na thī

ek do hoñge ki ham jin par faqīrāna khule

sab pe khulne ki hamein hi aarzu shayad na thi

ek do honge ki hum jin par faqirana khule

Recitation

Speak Now