Ahmad Hamdani
Ghazal 16
Sher-o-Shayari 7
tū mayassar thā to dil meñ the hazāroñ armāñ
tū nahīñ hai to har ik samt ajab rañg-e-malāl
tu mayassar tha to dil mein the hazaron arman
tu nahin hai to har ek samt ajab rang-e-malal
-
Share this
- See Ghazal
vo merī raah meñ kāñTe bichhā.e maiñ lekin
usī ko pyaar karūñ us pe e'tibār karūñ
wo meri rah mein kanTe bichhae main lekin
usi ko pyar karun us pe e'tibar karun
-
Share this
- See Ghazal
kyuuñ hamāre saañs bhī hote haiñ logoñ par girāñ
ham bhī to ik umr le kar is jahāñ meñ aa.e the
kyun hamare sans bhi hote hain logon par giran
hum bhi to ek umr le kar is jahan mein aae the
-
Share this
- See Ghazal
ajiib vahshateñ hisse meñ apne aa.ī haiñ
ki tere ghar bhī pahuñch kar sakūñ na paa.eñ ham
ajib wahshaten hisse mein apne aai hain
ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paen hum
-
Share this
- See Ghazal
ab ye hogā shāyad apnī aag meñ ḳhud jal jā.eñge
tum se duur bahut rah kar bhī kyā paayā kyā pā.eñge
TRANSLATION
Perhaps this will happen now, I will burn in my own fire,
Separated from you what did I gain, and what is there to desire.
Sagar Akbarabadi
ab ye hoga shayad apni aag mein KHud jal jaenge
tum se dur bahut rah kar bhi kya paya kya paenge
TRANSLATION
Perhaps this will happen now, I will burn in my own fire,
Separated from you what did I gain, and what is there to desire.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal