Sher of Ahmad Rahi
har ek baat ke yuuñ to diye javāb us ne
jo ḳhaas baat thī har baar hañs ke Taal gayā
har ek baat ke yun to diye jawab us ne
jo KHas baat thi har bar hans ke Tal gaya
-
Tag : Taghaful
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ to masjid se chalā thā kisī ka.aba kī taraf
dukh to ye hai ki ibādat mirī bad-nām huī
main to masjid se chala tha kisi kaba ki taraf
dukh to ye hai ki ibaadat meri bad-nam hui
kahīñ ye apnī mohabbat kī intihā to nahīñ
bahut dinoñ se tirī yaad bhī nahīñ aa.ī
kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin
bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai
mire habīb mirī muskurāhaToñ pe na jā
ḳhudā-gavāh mujhe aaj bhī tirā ġham hai
mere habib meri muskurahaTon pe na ja
KHuda-gawah mujhe aaj bhi tera gham hai
-
Tag : Muskurahat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī ke vo kisī moḌ pe gaahe gaahe
mil to jaate haiñ mulāqāt kahāñ hotī hai
zindagi ke wo kisi moD pe gahe gahe
mil to jate hain mulaqat kahan hoti hai
-
Tag : Mulaqat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhushk ḳhushk sī palkeñ aur suukh jaatī haiñ
maiñ tirī judā.ī meñ is tarah bhī rotā huuñ
KHushk KHushk si palken aur sukh jati hain
main teri judai mein is tarah bhi rota hun
dil se dil nazroñ se nazroñ ke ulajhne kā samāñ
jaise sahrāoñ meñ niiñd aa.ī ho dīvānoñ ko
dil se dil nazron se nazron ke ulajhne ka saman
jaise sahraon mein nind aai ho diwanon ko
maiñ sochtā huuñ zamāne kā haal kyā hogā
agar ye uljhī huī zulf tū ne suljhā.ī
main sochta hun zamane ka haal kya hoga
agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhai
jis taraf jaa.eñ jahāñ jaa.eñ bharī duniyā meñ
rāsta roke tirī yaad khaḌī hotī hai
jis taraf jaen jahan jaen bhari duniya mein
rasta roke teri yaad khaDi hoti hai
-
Tag : Yaad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaqt kī qabr meñ ulfat kā bharam rakhne ko
apnī hī laash utārī hai tumheñ kyā ma.alūm
waqt ki qabr mein ulfat ka bharam rakhne ko
apni hi lash utari hai tumhein kya malum
duur terī mahfil se raat din sulagtā huuñ
tū mirī tamannā hai maiñ tirā tamāshā huuñ
dur teri mahfil se raat din sulagta hun
tu meri tamanna hai main tera tamasha hun
qad o gesū lab-o-ruḳhsār ke afsāne chale
aaj mahfil meñ tire naam pe paimāne chale
qad o gesu lab-o-ruKHsar ke afsane chale
aaj mahfil mein tere nam pe paimane chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dard kī baat kisī hañstī huī mahfil meñ
jaise kah de kisī turbat pe latīfa koī
dard ki baat kisi hansti hui mahfil mein
jaise kah de kisi turbat pe latifa koi
ab is ke tasavvur se bhī jhukne lagīñ āñkheñ
nazrāna diyā hai jise maiñ ne dil o jaañ kā
ab is ke tasawwur se bhi jhukne lagin aankhen
nazrana diya hai jise main ne dil o jaan ka
vo dāstāñ jo tirī dil-kashī ne chheḌī thī
hazār baar mirī sādgī ne dohrā.ī
wo dastan jo teri dil-kashi ne chheDi thi
hazar bar meri sadgi ne dohrai
ab na ka.aba kī tamannā na kisī but kī havas
ab to zinda huuñ kisī markaz-e-insāñ ke liye
ab na kaba ki tamanna na kisi but ki hawas
ab to zinda hun kisi markaz-e-insan ke liye
dil ke sunsān jazīroñ kī ḳhabar lā.egā
dard pahlū se judā ho ke kahāñ jā.egā
dil ke sunsan jaziron ki KHabar laega
dard pahlu se juda ho ke kahan jaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download