Akhtar Imam Rizvi
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 15
kam-zarf zamāne kī hiqārat kā gila kyā
maiñ ḳhush huuñ mirā pyaar samundar kī tarah hai
kam-zarf zamane ki hiqarat ka gila kya
main KHush hun mera pyar samundar ki tarah hai
-
Share this
- See Ghazal
ab bhī aatī hai tirī yaad pa is karb ke saath
TūTtī niiñd meñ jaise koī sapnā dekhā
ab bhi aati hai teri yaad pa is karb ke sath
TuTti nind mein jaise koi sapna dekha
-
Share this
- See Ghazal
toḌ bhī do ehsās ke rishte chhoḌ bhī do dukh apnāne
ro ro ke jīvan kāTo.ge ro ro ke mar jāoge
toD bhi do ehsas ke rishte chhoD bhi do dukh apnane
ro ro ke jiwan kaToge ro ro ke mar jaoge
-
Share this
- See Ghazal
mujh ko manzil bhī na pahchān sakī
maiñ ki jab gard-e-safar se niklā
mujh ko manzil bhi na pahchan saki
main ki jab gard-e-safar se nikla
-
Share this
- See Ghazal
apnoñ kī chāhatoñ ne bhī kyā kyā diye fareb
rote rahe lipaT ke har ik ajnabī ke saath
apnon ki chahaton ne bhi kya kya diye fareb
rote rahe lipaT ke har ek ajnabi ke sath
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
duniyaa bhii pesh aa.ii bahut be-ruKHii ke saath ham ne bhii zaKHm khaa.e ba.Dii saadgii ke saath ik musht-e-KHaak aag kaa dariyaa lahuu kii lahr kyaa kyaa rivaayate.n hai.n yahaa.n aadmii ke saath apno.n kii chaahato.n ne bhii kyaa kyaa diye fareb rote rahe lipaT ke har ik ajnabii ke saath ja.ngal kii dhuup chhaa.nv hii jangal kaa husn hai saayo.n ko bhii qubuul karo raushnii ke saath tum raaste kii gard na ho jaa.o to kaho do-chaar gaam chal ke to dekho kisii ke saath ko.ii dhu.aa.n uThaa na ko.ii raushnii hu.ii jaltii rahii hayaat ba.Dii KHaamushii ke saath