Akhtar lakhnvi
Ghazal 9
Sher-o-Shayari 11
dekho us ne qadam qadam par saath diyā begāne kā
'aḳhtar' jis ne ahd kiyā thā tum se saath nibhāne kā
dekho us ne qadam qadam par sath diya begane ka
'aKHtar' jis ne ahd kiya tha tum se sath nibhane ka
-
Share this
- See Ghazal
ik tere hī kūche par mauqūf nahīñ hai kuchh
har gaam haiñ ta.azīreñ ham log jahāñ bhī haiñ
ek tere hi kuche par mauquf nahin hai kuchh
har gam hain taziren hum log jahan bhi hain
-
Share this
- See Ghazal
hasad kā rañg pasandīda rañg hai sab kā
yahāñ kisī ko koī ab duā nahīñ detā
hasad ka rang pasandida rang hai sab ka
yahan kisi ko koi ab dua nahin deta
-
Share this
- See Ghazal
jazbe kī kaḌī dhuup ho to kyā nahīñ mumkin
ye kis ne kahā sañg pighaltā hī nahīñ hai
jazbe ki kaDi dhup ho to kya nahin mumkin
ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai
-
Share this
- See Ghazal