Sher of Ali Ul-Hasnain
agar ho qais to phir jā ke DhūñDo lailā ko
agar ho jaun to phir fāriha ke saath raho
agar ho qais to phir ja ke DhunDo laila ko
agar ho jaun to phir fariha ke sath raho
ik tajassus huā kartā hai bure kaam se qabl
ek pachhtāvā bure kaam ke anjām ke baad
ek tajassus hua karta hai bure kaam se qabl
ek pachhtawa bure kaam ke anjam ke baad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhudī se pyaar karo aur ḳhudā ke saath raho
ye tum se kis ne kahā bevafā ke saath raho
KHudi se pyar karo aur KHuda ke sath raho
ye tum se kis ne kaha bewafa ke sath raho
sazā.eñ dekhtā huuñ aur sochtā huuñ maiñ
jahāñ meñ ishq se baḌh kar koī bhī jurm nahīñ
sazaen dekhta hun aur sochta hun main
jahan mein ishq se baDh kar koi bhi jurm nahin
jab se TuuTā hai to chubhtā hai mirī āñkhoñ meñ
ḳhvāb thā merā kisī kāñch ke jaisā shāyad
jab se TuTa hai to chubhta hai meri aankhon mein
KHwab tha mera kisi kanch ke jaisa shayad
zindagī ḳhvāb hai aur ḳhvāb bhī aisā ki jise
jāgtī āñkhoñ se sab ke liye dekhā jaa.e
zindagi KHwab hai aur KHwab bhi aisa ki jise
jagti aankhon se sab ke liye dekha jae
ḳhudā se chand māñgeñ haiñ hamārī
hamārī bandagī haḌtāl par hai
KHuda se chand mangen hain hamari
hamari bandagi haDtal par hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download