Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Alok Mishra's Photo'

Alok Mishra

1985 | Delhi, India

Popular poet of the younger generation

Popular poet of the younger generation

Sher of Alok Mishra

1.5K
Favorite

SORT BY

sab sitāre dilāsa dete haiñ

chāñd rātoñ ko chīḳhtā hai bahut

sab sitare dilasa dete hain

chand raaton ko chiKHta hai bahut

kyā zarūrat hai mujh ko chehre

kaun chehre se jāntā hai mujhe

kya zarurat hai mujh ko chehre ki

kaun chehre se jaanta hai mujhe

ajiib ḳhvāb thā āñkhoñ meñ niiñd chhoḌ gayā

ki niiñd guzrī hai mujh ko zalīl karte hue

ajib KHwab tha aankhon mein nind chhoD gaya

ki nind guzri hai mujh ko zalil karte hue

jaane kis baat se dukhā hai bahut

dil ka.ī roz se ḳhafā hai bahut

jaane kis baat se dukha hai bahut

dil kai roz se KHafa hai bahut

marā huā maiñ vo kirdār huuñ kahānī

jo rahā hai kahānī tavīl karte hue

mara hua main wo kirdar hun kahani ka

jo ji raha hai kahani tawil karte hue

maiñ bhī bikhrā huā huuñ apnoñ meñ

vo bhī tanhā apne ghar meñ hai

main bhi bikhra hua hun apnon mein

wo bhi tanha sa apne ghar mein hai

jab se dekhā hai ḳhvāb meñ us ko

dil musalsal kisī safar meñ hai

jab se dekha hai KHwab mein us ko

dil musalsal kisi safar mein hai

mujhe pata hai ki rone se kuchh nahīñ hotā

nayā dukh hai to thoḌā chhalak gayā huuñ maiñ

mujhe pata hai ki rone se kuchh nahin hota

naya sa dukh hai to thoDa chhalak gaya hun main

kyuuñ batātā nahīñ koī kuchh bhī

āḳhir aisā bhī kyā huā hai mujhe

kyun batata nahin koi kuchh bhi

aaKHir aisa bhi kya hua hai mujhe

ḳhud-kushī jaisī koī baat nahīñ

ik zarā mujh ko bad-gumānī hai

KHud-kushi jaisi koi baat nahin

ek zara mujh ko bad-gumani hai

bujhtī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb bosa rakkhā

raat phir ham ne añdheroñ meñ ujālā rakkhā

bujhti aankhon mein tere KHwab ka bosa rakkha

raat phir hum ne andheron mein ujala rakkha

ek patta huuñ shāḳh se bichhḌā

jaane bah kar maiñ kis dishā jā.ūñ

ek patta hun shaKH se bichhDa

jaane bah kar main kis disha jaun

kyā qayāmat hai ki terī tarah se mujh se

zindagī ne bhī bahut duur rishta rakkhā

kya qayamat hai ki teri hi tarah se mujh se

zindagi ne bhi bahut dur ka rishta rakkha

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now