Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Amjad Najmi

1899 - 1974

Amjad Najmi

Ghazal 22

Nazm 20

Sher-o-Shayari 13

vafā aaḌ meñ kyā kyā huī jafā ham par

jo dostī yahī Thahrī to dushmanī kyā hai

wafa ki aaD mein kya kya hui jafa hum par

jo dosti yahi Thahri to dushmani kya hai

jab dil nahīñ hai pahlū meñ phir ishq saudā kaun kare

ab un se mohabbat kaun kare ab un tamannā kaun kare

jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq ka sauda kaun kare

ab un se mohabbat kaun kare ab un ki tamanna kaun kare

kis ġhalat-fahmī meñ apnī umr saarī kaT ga.ī

ik vafā-nā-āshnā ko bā-vafā samjhā thā maiñ

kis ghalat-fahmi mein apni umr sari kaT gai

ek wafa-na-ashna ko ba-wafa samjha tha main

vahī sub.h-o-masā vahī shab-o-roz

zindagī hai vabāl kyā kahiye

wahi subh-o-masa wahi shab-o-roz

zindagi hai wabaal kya kahiye

na kuchh aalim samajhte haiñ na kuchh jāhil samajhte haiñ

mohabbat haqīqat ko bas ahl-e-dil samajhte haiñ

na kuchh aalim samajhte hain na kuchh jahil samajhte hain

mohabbat ki haqiqat ko bas ahl-e-dil samajhte hain

BOOKS 32

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now