Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anjum Fauqi Badayuni's Photo'

Anjum Fauqi Badayuni

1911 - 1995

Pre-modern poet, known for his scholarly and literary writings

Pre-modern poet, known for his scholarly and literary writings

Sher of Anjum Fauqi Badayuni

us ne majbūr-e-vafā jaan ke muñh pher liyā

mujh se ye bhuul huī pūchh liyā kaise ho

us ne majbur-e-wafa jaan ke munh pher liya

mujh se ye bhul hui puchh liya kaise ho

sach koī fan to nahīñ hai jo sikhāyā jaa.e

jhuuT se kaam le sach bolnā aa jā.egā

sach koi fan to nahin hai jo sikhaya jae

jhuT se kaam le sach bolna aa jaega

tum apnī āñkhoñ laalī phūloñ meñ taqsīm karo

mere dil haal na pūchho rahne do jis haal meñ hai

tum apni aankhon ki lali phulon mein taqsim karo

mere dil ka haal na puchho rahne do jis haal mein hai

ek raheñ do ho jaa.eñ rusvā.ī har haal meñ hai

jīvan ruup saarī shobhā jīvan ke janjāl meñ hai

ek rahen ya do ho jaen ruswai har haal mein hai

jiwan rup ki sari shobha jiwan ke janjal mein hai

zehn-o-dil tafrīq ke qaa.il nahīñ

kyā karūñ apnā parāyā jaan kar

zehn-o-dil tafriq ke qail nahin

kya karun apna paraya jaan kar

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now