Sher of Anwar Jamal Anwar
shahr kī galiyoñ aur saḌkoñ par phirte haiñ māyūsī meñ
kaash koī 'anvar' se pūchhe aise be-ghar kitne haiñ
shahr ki galiyon aur saDkon par phirte hain mayusi mein
kash koi 'anwar' se puchhe aise be-ghar kitne hain
sach ye hai ham hī mohabbat kā sabaq paḌh na sake
varna an-paḌh to na the ham ko paḌhāne vaale
sach ye hai hum hi mohabbat ka sabaq paDh na sake
warna an-paDh to na the hum ko paDhane wale
husn aisā ki zamāne meñ nahīñ jis kī misāl
aur jamāl aisā ki DhūñDā kare har ḳhvāb-o-ḳhayāl
husn aisa ki zamane mein nahin jis ki misal
aur jamal aisa ki DhunDa kare har KHwab-o-KHayal
tumhāre dil meñ koī aur bhī hai mere sivā
gumān to hai zarā sā magar yaqīn nahīñ
tumhaare dil mein koi aur bhi hai mere siwa
guman to hai zara sa magar yaqin nahin
hai taqāzā-e-tahzīb 'anvar'
mat kaho vo ki jo muñh meñ aa.e
hai taqaza-e-tahzib 'anwar'
mat kaho wo ki jo munh mein aae
kaisā maqām aayā mohabbat kī raah meñ
dil ro rahā hai merā magar aañkh tar nahīñ
kaisa maqam aaya mohabbat ki rah mein
dil ro raha hai mera magar aankh tar nahin
dāman pe to har ek ke chhīTeñ haiñ ḳhuun kī
ab kis se pūchhiye ki gunahgār kaun hai
daman pe to har ek ke chhiTen hain KHun ki
ab kis se puchhiye ki gunahgar kaun hai
ham fitratan insāñ haiñ farishte to nahīñ haiñ
da.avā ye kareñ kaise ki laġhzish nahīñ karte
hum fitratan insan hain farishte to nahin hain
dawa ye karen kaise ki laghzish nahin karte
bahut āsān hai mushtarka diloñ meñ tafrīq
baat to jab hai ki bichhḌoñ ko milāyā jaa.e
bahut aasan hai mushtarka dilon mein tafriq
baat to jab hai ki bichhDon ko milaya jae
roz uTh jaatī hai ghar meñ koī dīvār na.ī
is tarah tañg huā jaatā hai āñgan apnā
roz uTh jati hai ghar mein koi diwar nai
is tarah tang hua jata hai aangan apna
ham se vafā-shi.ār ko bhī tere rū-ba-rū
khānī paḌī vafā kī qasam tere shahr meñ
hum se wafa-shiar ko bhi tere ru-ba-ru
khani paDi wafa ki qasam tere shahr mein