Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anwar Kaifi's Photo'

Anwar Kaifi

1946

Sher of Anwar Kaifi

ye to ho saktā hai ki donoñ manzil ek ho

phir bhī us ke ham-safar hone farmā.ish na kar

ye to ho sakta hai ki donon ki manzil ek ho

phir bhi us ke ham-safar hone ki farmaish na kar

ġharīb bhuuk Thokar se ḳhuun ḳhuun hue

kisī amiir ko ab to lahū baas aa.e

gharib bhuk ki Thokar se KHun KHun hue

kisi amir ko ab to lahu ki bas aae

ye daur mohabbat lahū chaaT rahā hai

insān insān galā kaaT rahā hai

ye daur mohabbat ka lahu chaT raha hai

insan ka insan gala kaT raha hai

dil se niklī huī har aah tāsīr meñ aa

maañg le rab se mujhe aur mirī taqdīr meñ aa

dil se nikli hui har aah ki tasir mein aa

mang le rab se mujhe aur meri taqdir mein aa

jo kar rahe the zamāne se gumrahī safar

unhīñ ke naam kiyā haq ne bandagī safar

jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar

unhin ke nam kiya haq ne bandagi ka safar

mirī qismat kashtī bahr-e-ġham meñ Duub saktī thī

tirī taqdīr se shāyad mirī taqdīr ubhrī hai

meri qismat ki kashti bahr-e-gham mein Dub sakti thi

teri taqdir se shayad meri taqdir ubhri hai

hijr kahte haiñ kise ye mujhe ma.alūm nahīñ

kyā karūñgā maiñ tujhe ai shab-e-furqat le kar

hijr kahte hain kise ye mujhe malum nahin

kya karunga main tujhe ai shab-e-furqat le kar

rah-e-hayāt meñ shāyad vo maqām aa.e

ki naġhma-hā-e-junūñ par sukūt taarī ho

rah-e-hayat mein shayad hi wo maqam aae

ki naghma-ha-e-junun par sukut tari ho

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now