Sher of Aqeel Abbas
jaane is vaqt kahāñ phone paḌā ho us kā
jaane is vaqt vo kis shaḳhs kī āġhosh meñ ho
jaane is waqt kahan phone paDa ho us ka
jaane is waqt wo kis shaKHs ki aaghosh mein ho
safar nigal ga.e ham ko vagarna ham ne bhī
kahīñ pahuñch ke kisī ko gale lagānā thā
safar nigal gae hum ko wagarna hum ne bhi
kahin pahunch ke kisi ko gale lagana tha
ḳhudā ko ḳhat likhūñgā ḳhud-kushī kā
likhūñgā maiñ resign kar rahā huuñ
KHuda ko KHat likhunga KHud-kushi ka
likhunga main resign kar raha hun
us kī āñkhoñ pe mire paas koī she'r nahīñ
ek mazmūn hai mazmūn bhī tafsīlī hai
us ki aankhon pe mere pas koi she'r nahin
ek mazmun hai mazmun bhi tafsili hai
paanī kī pesh-raft ne sūkhā bhagā diyā
bārish ke baa'd ghaas kī TukḌī lahak uThī
pani ki pesh-raft ne sukha bhaga diya
barish ke ba'd ghas ki TukDi lahak uThi
ek bosa udhār hai tum par
aur chaa.e bhī tez pattī kī
ek bosa udhaar hai tum par
aur chae bhi tez patti ki
lams-e-husn-e-'ajīb kī ḳhvāhish
sar uThātī thī maar dī maiñ ne
lams-e-husn-e-'ajib ki KHwahish
sar uThati thi mar di main ne
roz kartī hai vo miTTī se lipā.ī lekin
roz dīvār meñ sūrāḳh nikal aatā hai
roz karti hai wo miTTi se lipai lekin
roz diwar mein suraKH nikal aata hai
dariyā ne bhī bhāg-bharī kī gāgar itnī bhar dī hai
ab gāgar ke hoñT bhigote jaate haiñ pagDanDī ko
dariya ne bhi bhag-bhari ki gagar itni bhar di hai
ab gagar ke honT bhigote jate hain pagDanDi ko
vaqt farmāñ-ravā-e-dillī hai
aur maiñ bhakt huuñ barelī kā
waqt farman-rawa-e-dilli hai
aur main bhakt hun bareli ka
do ghaḌī niiñd kī mohlat hai vo ġham taak meñ hai
jis tarah saañp kā bachcha koī pā-posh meñ ho
do ghaDi nind ki mohlat hai wo gham tak mein hai
jis tarah sanp ka bachcha koi pa-posh mein ho
badan to thā hī nahīñ aag thī mujassam aag
ham us se milte nahīñ to jale nahīñ hote
badan to tha hi nahin aag thi mujassam aag
hum us se milte nahin to jale nahin hote
shikam se maañ ke galī se tumhārī duniyā se
jahāñ kahīñ se bhī nikle haiñ rote nikle haiñ
shikam se man ke gali se tumhaari duniya se
jahan kahin se bhi nikle hain rote nikle hain
us ne 'ujlat meñ ġhalat sil pe qadam rakkhā thā
pech khāte hue zīnoñ ne use gher liyā
us ne 'ujlat mein ghalat sil pe qadam rakkha tha
pech khate hue zinon ne use gher liya
ye kaun pā.eñche ūñche kiye utartā hai
hamārī aañkh meñ sailāb dekhne ke liye
ye kaun paenche unche kiye utarta hai
hamari aankh mein sailab dekhne ke liye
sipah-garī kā hunar bhī suḳhan-varī bhī ho
maiñ chāhtā huuñ ki lashkar bhī ho parī bhī ho
sipah-gari ka hunar bhi suKHan-wari bhi ho
main chahta hun ki lashkar bhi ho pari bhi ho
ḳhair kī saarī du'āoñ kā bhalā ho laḌkī
ek bosa dam-e-ruḳhsat ki girānī nikle
KHair ki sari du'aon ka bhala ho laDki
ek bosa dam-e-ruKHsat ki girani nikle
gale lagā ke ravāna bhī kar sakūñ us ko
palaT ke aa.e to sāzish kī muḳhbirī bhī ho
gale laga ke rawana bhi kar sakun us ko
palaT ke aae to sazish ki muKHbiri bhi ho
raat vo shāḳh-e-badan mujh pe jhukī jaatī thī
aur phal muñh ko pahuñchtā thā lagā jo bhī thā
raat wo shaKH-e-badan mujh pe jhuki jati thi
aur phal munh ko pahunchta tha laga jo bhi tha
jin dinoñ 'ishq nahīñ hotā thā
kaale paanī kī sazā hotī thī
jin dinon 'ishq nahin hota tha
kale pani ki saza hoti thi
sukūñ lapeT ke kone meñ pheñk detī hai
ki jaise kaam pe aatī hai khalbalī mujh meñ
sukun lapeT ke kone mein phenk deti hai
ki jaise kaam pe aati hai khalbali mujh mein
dostoñ ko bhī tah-ba-tah rakh de
jaise rakhtī hai tū libās apne
doston ko bhi tah-ba-tah rakh de
jaise rakhti hai tu libas apne
dar-e-vajūd pe jaane tū kis se mil aa.ī
ki chaar pāñch to rahte haiñ aadmī mujh meñ
dar-e-wajud pe jaane tu kis se mil aai
ki chaar panch to rahte hain aadmi mujh mein
vo aa ga.ī to muravvat meñ pesh karnā paḌī
vo chaa.e us kī nahīñ thī jo us ne pī lī thī
wo aa gai to murawwat mein pesh karna paDi
wo chae us ki nahin thi jo us ne pi li thi
bālā-ḳhāne se chīḳh uThtī thī
aur dar band thā havelī kā
baala-KHane se chiKH uThti thi
aur dar band tha haweli ka
badan tabla huā jaatā hai dukh se
tinak dhin-dhin tinak dhin kar rahā huuñ
badan tabla hua jata hai dukh se
tinak dhin-dhin tinak dhin kar raha hun
zindagī maiñ tujhe raste se uThā laayā huuñ
tū kisī aur se Takrā.ī thī aage maiñ thā
zindagi main tujhe raste se uTha laya hun
tu kisi aur se Takrai thi aage main tha
tave par buuñd paḌne kā 'amal hai
maiñ jis miTTī pe kin-min kar rahā huuñ
tawe par bund paDne ka 'amal hai
main jis miTTi pe kin-min kar raha hun
tīrgī meñ aadmī ko hausla dete hue
har sitāre ko farishta maan lenā chāhiye
tirgi mein aadmi ko hausla dete hue
har sitare ko farishta man lena chahiye
baat karte hue pairoñ kī taraf dekhtā huuñ
apne mālik kī tabī'at kā patā hai mujh ko
baat karte hue pairon ki taraf dekhta hun
apne malik ki tabi'at ka pata hai mujh ko
class-rōm meñ itnā samay nahīñ hotā
ye sāniha tumheñ ghar se banā ke laanā thā
class-room mein itna samay nahin hota
ye saniha tumhein ghar se bana ke lana tha
aap kī sabz-nigāhī kā fusūñ taarī huā
aur manzar ne koī taaza jatan kaat liyā
aap ki sabz-nigahi ka fusun tari hua
aur manzar ne koi taza jatan kat liya