Sher of Arshad Mahmood Nashad
hisār-e-ġhair meñ rahtā hai ye makān-e-vajūd
maiñ ḳhalvatoñ meñ bhī akasr azaab dekhtā huuñ
hisar-e-ghair mein rahta hai ye makan-e-wajud
main KHalwaton mein bhi akasr azab dekhta hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ tire shahr se guzrā huuñ bagūle kī tarah
apnī duniyā meñ magan apne ḳhayālāt meñ gum
main tere shahr se guzra hun bagule ki tarah
apni duniya mein magan apne KHayalat mein gum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
talāsh-e-lā-makāñ meñ uḌ rahā huuñ
magar mujh se makāñ lipTā huā hai
talash-e-la-makan mein uD raha hun
magar mujh se makan lipTa hua hai
apnā kyā hai ki rahe yā na rahe
haañ magar terī zarūrat haiñ ham
apna kya hai ki rahe ya na rahe
han magar teri zarurat hain hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download