Sher of Asghar Shamim
kahāñ sar chhupā.eñ patā hī nahīñ
ki girne lagī ghar kī dīvār ab
kahan sar chhupaen pata hi nahin
ki girne lagi ghar ki diwar ab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
saarī duniyā ko jītne vaalā
apne bachchoñ se haar jaatā hai
sari duniya ko jitne wala
apne bachchon se haar jata hai
sar pe dastār jab salāmat hai
dil meñ aatī huī anā se Dar
sar pe dastar jab salamat hai
dil mein aati hui ana se Dar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
talātum meñ kabhī utrā thā 'asġhar'
samundar aaj tak sahmā huā hai
talatum mein kabhi utra tha 'asghar'
samundar aaj tak sahma hua hai
shahr to kab kā jal chukā 'asġhar'
uTh rahā hai magar dhuāñ ab tak
shahr to kab ka jal chuka 'asghar'
uTh raha hai magar dhuan ab tak
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil meñ 'asġhar' ke ḳhushiyoñ kī barsāt thī
hañste hañste vo kyuuñ ġham-zada ho gayā
dil mein 'asghar' ke KHushiyon ki barsat thi
hanste hanste wo kyun gham-zada ho gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download