Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asifud Daula's Photo'

Asifud Daula

1748 - 1797 | Lucknow, India

Nawab of Awadh

Nawab of Awadh

Sher of Asifud Daula

is adā se mujhe salām kiyā

ek aan meñ ġhulām kiyā

is ada se mujhe salam kiya

ek hi aan mein ghulam kiya

milte nazar dil ko milāyā nahīñ jaatā

āġhāz ko anjām banāyā nahīñ jaatā

milte hi nazar dil ko milaya nahin jata

aaghaz ko anjam banaya nahin jata

ham ishq ke bande haiñ maz.hab se nahīñ vāqif

gar ka.aba huā to kyā but-ḳhāna huā to kyā

hum ishq ke bande hain mazhab se nahin waqif

gar kaba hua to kya but-KHana hua to kya

ye na aane ke bahāne haiñ sabhī varna miyāñ

itnā to ghar se mire kuchh nahīñ ghar duur tirā

ye na aane ke bahane hain sabhi warna miyan

itna to ghar se mere kuchh nahin ghar dur tera

kahtā hai bahut kuchh vo mujhe chupke chupke

zāhir meñ ye kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

kahta hai bahut kuchh wo mujhe chupke hi chupke

zahir mein ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta

fā.eda kyā hai nasīhat se phire ho nāseh

ham samajhne ke nahīñ laakh samjhā.e hameñ

faeda kya hai nasihat se phire ho naseh

hum samajhne ke nahin lakh tu samjhae hamein

phabā hai ruḳh pe tire ḳhush-numā sanam lekin

hamesha gul pe ye shabnam rahe rahe na rahe

phaba hai ruKH pe tere KHush-numa sanam lekin

hamesha gul pe ye shabnam rahe rahe na rahe

Dar mujhe terā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

hausla merā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā

TRANSLATION

Either I am afraid of you, that I say nothing,

Or may be it’s my courage, that I say nothing.

Sagar Akbarabadi

ya Dar mujhe tera hai ki main kuchh nahin kahta

ya hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta

TRANSLATION

Either I am afraid of you, that I say nothing,

Or may be it’s my courage, that I say nothing.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now