Sher of Aslam Ansari
jaane vaale ko kahāñ rok sakā hai koī
tum chale ho to koī rokne vaalā bhī nahīñ
jaane wale ko kahan rok saka hai koi
tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin
dīvār-e-ḳhastagī huuñ mujhe haath mat lagā
maiñ gir paḌūñgā dekh mujhe aasrā na de
diwar-e-KHastagi hun mujhe hath mat laga
main gir paDunga dekh mujhe aasra na de
-
Tag : Aasraa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kise kaheñ ki rifāqat kā daaġh hai dil par
bichhaḌne vaalā to khul kar kabhī milā hī na thā
kise kahen ki rifaqat ka dagh hai dil par
bichhaDne wala to khul kar kabhi mila hi na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhafā na ho ki tirā husn hī kuchh aisā thā
maiñ tujh se pyaar na kartā to aur kyā kartā
KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha
main tujh se pyar na karta to aur kya karta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zarā sī baat pe kyā kyā fasāna-sāzī hai
maiñ ḳhud bhī chāhtā kab thā ki dāstāñ na bane
zara si baat pe kya kya fasana-sazi hai
main KHud bhi chahta kab tha ki dastan na bane
jise darpesh judā.ī ho use kyā ma.alūm
kaun sī baat ko kis tarah bayāñ honā hai
jise darpesh judai ho use kya malum
kaun si baat ko kis tarah bayan hona hai
ham ko pahchān ki ai bazm-e-chaman-zār-e-vajūd
ham na hote to tujhe kis ne sañvārā hotā
hum ko pahchan ki ai bazm-e-chaman-zar-e-wajud
hum na hote to tujhe kis ne sanwara hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamāre haath faqat ret ke sadaf aa.e
ki sāhiloñ pe sitāra koī rahā hī na thā
hamare hath faqat ret ke sadaf aae
ki sahilon pe sitara koi raha hi na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham ne har ḳhvāb ko ta.abīr atā kī 'aslam'
varna mumkin thā ki har naqsh adhūrā hotā
hum ne har KHwab ko tabir ata ki 'aslam'
warna mumkin tha ki har naqsh adhura hota
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uḌā hai rafta rafta rañg tasvīr-e-mohabbat kā
huī hai rasm-e-ulfat be-viqār āhista āhista
uDa hai rafta rafta rang taswir-e-mohabbat ka
hui hai rasm-e-ulfat be-wiqar aahista aahista
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rag-e-har-sāz ye kahtī hai ki ai naġhma-tarāz
mujh ko ik saltanat-e-saut-o-sadā chāhiye thī
rag-e-har-saz ye kahti hai ki ai naghma-taraaz
mujh ko ek saltanat-e-saut-o-sada chahiye thi
jū-e-naġhmāt pe tasvīr sī larzāñ dekhī
lab-e-tasvīr pe Thahrā huā naġhma dekhā
ju-e-naghmat pe taswir si larzan dekhi
lab-e-taswir pe Thahra hua naghma dekha