aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aslam Kolsarii's Photo'

Aslam Kolsarii

1946 - 2016 | Lahore, Pakistan

Sher of Aslam Kolsarii

shahr meñ aa kar paḌhne vaale bhuul ga.e

kis maañ ne kitnā zevar bechā thā

shahr mein aa kar paDhne wale bhul gae

kis ki man ne kitna zewar becha tha

eid din hai so kamre meñ paḌā huuñ 'aslam'

apne darvāze ko bāhar se muqaffal kar ke

eid ka din hai so kamre mein paDa hun 'aslam'

apne darwaze ko bahar se muqaffal kar ke

hamārī jiit huī hai ki donoñ haare haiñ

bichhaḌ ke ham ne ka.ī raat din guzāre haiñ

hamari jit hui hai ki donon haare hain

bichhaD ke hum ne kai raat din guzare hain

'aslam' baḌe vaqār se degrē vasūl

aur is ke ba.ad shahr meñ ḳhvāncha lagā liyā

'aslam' baDe waqar se degree wasul ki

aur is ke baad shahr mein KHwancha laga liya

sirf mere liye nahīñ rahnā

tum mire ba.ad bhī hasīñ rahnā

sirf mere liye nahin rahna

tum mere baad bhi hasin rahna

kāñTe se bhī nichoḌ ġhairoñ ne bū-e-gul

yāroñ ne bū-e-gul se bhī kāñTā banā diyā

kanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul

yaron ne bu-e-gul se bhi kanTa bana diya

jab maiñ us ke gaañv se bāhar niklā thā

har raste ne merā rasta rokā thā

jab main us ke ganw se bahar nikla tha

har raste ne mera rasta roka tha

qarīb aa ke bhī ik shaḳhs ho sakā na mirā

yahī hai merī haqīqat yahī fasāna mirā

qarib aa ke bhi ek shaKHs ho saka na mera

yahi hai meri haqiqat yahi fasana mera

jaane kis lamha-e-vahshī talab hai ki falak

dekhnā chāhe mire shahr ko jañgal kar ke

jaane kis lamha-e-wahshi ki talab hai ki falak

dekhna chahe mere shahr ko jangal kar ke

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now