Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ataur Rahman Jameel

Sher of Ataur Rahman Jameel

aane vaalī aa nahīñ chuktī jaane vaalī bhī chukī

vaise to har jaane vaalī raat thī aane vaalī raat

aane wali aa nahin chukti jaane wali ja bhi chuki

waise to har jaane wali raat thi aane wali raat

ye duniyā hai yahāñ har ābgīna TuuT jaatā hai

kahīñ chhupte phiro āḳhir zamāna DhūñDh legā

ye duniya hai yahan har aabgina TuT jata hai

kahin chhupte phiro aaKHir zamana DhunDh hi lega

kuchh ḳhvāb kuchh ḳhayāl meñ mastūr ho ga.e

tum kyā qarīb nikle ki sab duur ho ga.e

kuchh KHwab kuchh KHayal mein mastur ho gae

tum kya qarib nikle ki sab dur ho gae

un ko bhī 'jamīl' apne muqaddar se gila hai

vo log jo sunte the ki chālāk bahut haiñ

un ko bhi 'jamil' apne muqaddar se gila hai

wo log jo sunte the ki chaalak bahut hain

tumhārī bazm se jab bhī uThe to hāl-zada

kabhī javāb ke maare kabhī savāl-zada

tumhaari bazm se jab bhi uThe to haal-zada

kabhi jawab ke mare kabhi sawal-zada

dil par barf sil rakh denā nāgan ban kar Das lenā

apne liye donoñ barābar kaalī ho ki ujālī raat

dil par barf ki sil rakh dena nagan ban kar Das lena

apne liye donon hi barabar kali ho ki ujali raat

aañsū tumhārī aañkh meñ aa.e to uTh ga.e

ham jab karam taab na laa.e to uTh ga.e

aansu tumhaari aankh mein aae to uTh gae

hum jab karam ki tab na lae to uTh gae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now