Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Athar Nasik's Photo'

Athar Nasik

1959 - 2012 | Multan, Pakistan

Sher of Athar Nasik

sūraj lihāf oḌh ke soyā tamām raat

sardī se ik parinda darīche meñ mar gayā

suraj lihaf oDh ke soya tamam raat

sardi se ek parinda dariche mein mar gaya

na-jāne kaun majbūriyāñ haiñ jin ke liye

ḳhud apnī zaat se inkār karnā paḌtā hai

na-jaane kaun si majburiyan hain jin ke liye

KHud apni zat se inkar karna paDta hai

yaqīn barsoñ imkān kuchh dinoñ huuñ

maiñ tere shahr meñ mehmān kuchh dinoñ huuñ

yaqin barson ka imkan kuchh dinon ka hun

main tere shahr mein mehman kuchh dinon ka hun

maiñ use sub.h na jānūñ jo tire sañg nahīñ

maiñ use shaam na mānūñ ki jo tere bin hai

main use subh na jaanun jo tere sang nahin

main use sham na manun ki jo tere bin hai

maiñ pūchh letā huuñ yāroñ se rat-jagoñ sabab

magar vo mujh se mire ḳhvāb pūchh lete haiñ

main puchh leta hun yaron se rat-jagon ka sabab

magar wo mujh se mere KHwab puchh lete hain

banānā paḌtā hai apne badan ko chhat apnī

aur apne saa.e ko dīvār karnā paḌtā hai

banana paDta hai apne badan ko chhat apni

aur apne sae ko diwar karna paDta hai

yahīñ kahīñ pe adū ne paḌāv Daalā thā

yahīñ kahīñ pe mohabbat ne haar maanī thī

yahin kahin pe adu ne paDaw Dala tha

yahin kahin pe mohabbat ne haar mani thi

kitne ma.anī rakhtā hai zarā ġhaur to kar

kūza-gar ke haath meñ honā miTTī

kitne mani rakhta hai zara ghaur to kar

kuza-gar ke hath mein hona miTTi ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now