Sher of Atul Ajnabi
ajab ḳhulūs ajab sādgī se kartā hai
daraḳht nekī baḌī ḳhāmushī se kartā hai
ajab KHulus ajab sadgi se karta hai
daraKHt neki baDi KHamushi se karta hai
pattoñ ko chhoḌ detā hai aksar ḳhizāñ ke vaqt
ḳhud-ġharzī hī kuchh aisī yahāñ har shajar meñ hai
patton ko chhoD deta hai aksar KHizan ke waqt
KHud-gharzi hi kuchh aisi yahan har shajar mein hai
safar ho shaah kā yā qāfila faqīroñ kā
shajar mizāj samajhte haiñ rāhgīroñ kā
safar ho shah ka ya qafila faqiron ka
shajar mizaj samajhte hain rahgiron ka
kisī daraḳht se sīkho salīqa jiine kā
jo dhuup chhāñv se rishta banā.e rahtā hai
kisi daraKHt se sikho saliqa jine ka
jo dhup chhanw se rishta banae rahta hai
jab ġhazal 'mīr' kī paḌhtā hai paḌosī merā
ik namī sī mirī dīvār meñ aa jaatī hai
jab ghazal 'mir' ki paDhta hai paDosi mera
ek nami si meri diwar mein aa jati hai
-
Tag : Meer Taqi Meer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye rahbar aaj bhī kitne purāne lagte haiñ
ki peḌ duur se rasta dikhāne lagte haiñ
ye rahbar aaj bhi kitne purane lagte hain
ki peD dur se rasta dikhane lagte hain
ajnabī tum kabhī na pāoge
martaba jo ġhazal meñ 'mīr' kā hai
ajnabi tum kabhi na paoge
martaba jo ghazal mein 'mir' ka hai
-
Tag : Meer Taqi Meer