Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azhar Iqbal's Photo'

Azhar Iqbal

1978 | Meerut, India

Well-known Indian poet representing the younger generation

Well-known Indian poet representing the younger generation

Sher of Azhar Iqbal

3.7K
Favorite

SORT BY

na jaane ḳhatm huī kab hamārī āzādī

ta.alluqāt pābandiyāñ nibhāte hue

na jaane KHatm hui kab hamari aazadi

talluqat ki pabandiyan nibhate hue

phir is ke ba.ad manāyā na jashn ḳhushbū

lahū meñ Duubī thī fasl-e-bahār kyā karte

phir is ke baad manaya na jashn KHushbu ka

lahu mein Dubi thi fasl-e-bahaar kya karte

ghuTan hone lagī us ke paas jaate hue

maiñ ḳhud se ruuTh gayā huuñ use manāte hue

ghuTan si hone lagi us ke pas jate hue

main KHud se ruTh gaya hun use manate hue

hai ab bhī bistar-e-jāñ par tire badan shikan

maiñ ḳhud miTne lagā huuñ use miTāte hue

hai ab bhi bistar-e-jaan par tere badan ki shikan

main KHud hi miTne laga hun use miTate hue

ye kaifiyat hai merī jaan ab tujhe kho kar

ki ham ne ḳhud ko bhī paayā nahīñ bahut din se

ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar

ki hum ne KHud ko bhi paya nahin bahut din se

ye pahlā ishq hai tumhārā soch lo

mire liye ye rāstā nayā nahīñ

ye pahla ishq hai tumhaara soch lo

mere liye ye rasta naya nahin

har ek shaḳhs yahāñ mahv-e-ḳhvāb lagtā hai

kisī ne ham ko jagāyā nahīñ bahut din se

har ek shaKHs yahan mahw-e-KHwab lagta hai

kisi ne hum ko jagaya nahin bahut din se

niiñd aa.egī bhalā kaise use shaam ke ba.ad

roTiyāñ bhī na mayassar hoñ jise kaam ke ba.ad

nind aaegi bhala kaise use sham ke baad

roTiyan bhi na mayassar hon jise kaam ke baad

har ek samt yahāñ vahshatoñ maskan hai

junūñ ke vāste sahrā o āshiyāna kyā

har ek samt yahan wahshaton ka maskan hai

junun ke waste sahra o aashiyana kya

ek muddat se haiñ safar meñ ham

ghar meñ rah kar bhī jaise beghar se

ek muddat se hain safar mein hum

ghar mein rah kar bhi jaise beghar se

tumhāre aane ummīd bar nahīñ aatī

maiñ raakh hone lagā huuñ diye jalāte hue

tumhaare aane ki ummid bar nahin aati

main rakh hone laga hun diye jalate hue

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now