Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Faraz Sultanpuri

Sultanpur, India

Sher of Faraz Sultanpuri

ye dil hai dil ise siine meñ hargiz

kabhī rakhnā na tum patthar banā ke

ye dil hai dil ise sine mein hargiz

kabhi rakhna na tum patthar bana ke

dhuup saḳhtī to thī lekin 'farāz'

zindagī meñ phir bhī thā saaya bahut

dhup ki saKHti to thi lekin 'faraaz'

zindagi mein phir bhi tha saya bahut

phūloñ tāzgī meñ udāsī hai shaam

saa.e ġhamoñ ke itne to gahre kabhī na the

phulon ki tazgi mein udasi hai sham ki

sae ghamon ke itne to gahre kabhi na the

'farāz' is tarah zindagī hai gizārī

ki goyā koī hādsa chhoḌ aa.e

'faraaz' is tarah zindagi hai gizari

ki goya koi hadsa chhoD aae

kahīñ aisā na ho maiñ duur ḳhud apne se ho jā.ūñ

merī hastī ke hañgāmoñ meñ kuchh tanhā.iyāñ rakh do

kahin aisa na ho main dur KHud apne se ho jaun

meri hasti ke hangamon mein kuchh tanhaiyan rakh do

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now