Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Farhat Nadeem Humayun's Photo'

Farhat Nadeem Humayun

New York, USA

Sher of Farhat Nadeem Humayun

nahīñ hotī hai rāh-e-ishq meñ āsān manzil

safar meñ bhī to sadiyoñ masāfat chāhiye hai

nahin hoti hai rah-e-ishq mein aasan manzil

safar mein bhi to sadiyon ki masafat chahiye hai

tirā dīdār ho āñkheñ kisī bhī samt dekheñ

so har chehre meñ ab terī shabāhat chāhiye hai

tera didar ho aankhen kisi bhi samt dekhen

so har chehre mein ab teri shabahat chahiye hai

merā har ḳhvāb to bas ḳhvāb jaisā niklā

kyā kisī ḳhvāb ta.abīr bhī ho saktī hai

mera har KHwab to bas KHwab hi jaisa nikla

kya kisi KHwab ki tabir bhi ho sakti hai

DhūñDeñge har ik chiiz meñ jiine umañgeñ

dil kisī ḳhvāhish ko bhī māreñge nahīñ ham

DhunDenge har ek chiz mein jine ki umangen

dil ki kisi KHwahish ko bhi marenge nahin hum

milnā hai agar ḳhud se to phir der na karnā

kho jaane Dar hotā hai tāḳhīr meñ likh de

milna hai agar KHud se to phir der na karna

kho jaane ka Dar hota hai taKHir mein likh de

ye kyuuñ kahte ho rāh-e-ishq par chalnā hai ham ko

kaho ki zindagī se ab farāġhat chāhiye hai

ye kyun kahte ho rah-e-ishq par chalna hai hum ko

kaho ki zindagi se ab faraghat chahiye hai

dil aisā makāñ hai jo agar TuuT gayā to

lag jā.eñgī sadiyāñ na.ī ta.amīr meñ likh de

dil aisa makan hai jo agar TuT gaya to

lag jaengi sadiyan nai tamir mein likh de

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now