Sher of Fay Seen Ejaz
achchhī-ḳhāsī rusvā.ī kā sabab hotī hai
dūsrī aurat pahlī jaisī kab hotī hai
achchhi-KHasi ruswai ka sabab hoti hai
dusri aurat pahli jaisi kab hoti hai
hazāroñ saal kī thī aag mujh meñ
ragaḌne tak maiñ ik patthar rahā thā
hazaron sal ki thi aag mujh mein
ragaDne tak main ek patthar raha tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mil rahī hai mujhe nā-karda gunāhoñ kī sazā
mere mālik mire sajde mujhe vāpas kar de
mil rahi hai mujhe na-karda gunahon ki saza
mere malik mere sajde mujhe wapas kar de
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī to zid meñ ye aa kar kabhī kahe ham se
ye baat yuuñ nahīñ aise thī yuuñ huā hogā
koi to zid mein ye aa kar kabhi kahe hum se
ye baat yun nahin aise thi yun hua hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab ke rūThe to manāne nahīñ aayā koī
baat baḌh jaa.e to ho jaatī hai kam aap hī aap
ab ke ruThe to manane nahin aaya koi
baat baDh jae to ho jati hai kam aap hi aap
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ishq kiyā to apnī hī nādānī thī
varna duniyā jaan kī dushman kab hotī hai
ishq kiya to apni hi nadani thi
warna duniya jaan ki dushman kab hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujh ko manzūr nahīñ mujh ko hai ab bhī manzūr
merī qurbat mire bose mujhe vāpas kar de
tujh ko manzur nahin mujh ko hai ab bhi manzur
meri qurbat mere bose mujhe wapas kar de
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaise aatā hai dabe paañv gunāhoñ kā ḳhayāl
kitnī ḳhāmoshī se darvāza khulā thā pahle
kaise aata hai dabe panw gunahon ka KHayal
kitni KHamoshi se darwaza khula tha pahle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yahī din haiñ barat le jitne zevar terā jī chāhe
Dhalegī umr to ye chāñdī sonā kaun dekhegā
yahi din hain barat le jitne zewar tera ji chahe
Dhalegi umr to ye chandi sona kaun dekhega
jo marā hai hādse meñ mirā us se kyā thā rishta
ye saḌak jo ḳhuuñ meñ tar hai mujhe kyuuñ pukārtī hai
jo mara hai hadse mein mera us se kya tha rishta
ye saDak jo KHun mein tar hai mujhe kyun pukarti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis anmol pashemānī kī daulat hai in ā.ankhoñ meñ
palkoñ par do aañsū jhamkeñ motī ke se daane do
kis anmol pashemani ki daulat hai in aaankhon mein
palkon par do aansu jhamken moti ke se dane do
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirā rotā bachcha bahaltā thā jis se
vo lakḌī kā hāthī uThā le gayā vo
mera rota bachcha bahalta tha jis se
wo lakDi ka hathi uTha le gaya wo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ kahāñ aayā huuñ laa.e haiñ tirī mahfil meñ
mirī vahshat mire majbūr qadam aap hī aap
main kahan aaya hun lae hain teri mahfil mein
meri wahshat mere majbur qadam aap hi aap
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
namak aatā nahīñ hai raas sab dil ke marīzoñ ko
batā aise tirā chehra salonā kaun dekhegā
namak aata nahin hai ras sab dil ke marizon ko
bata aise tera chehra salona kaun dekhega
na.e bachchoñ ko chāhat hai na.e mahñge khilaunoñ kī
ye aaTh aane kā phirkī kā khilaunā kaun dekhegā
nae bachchon ko chahat hai nae mahnge khilaunon ki
ye aaTh aane ka phirki ka khilauna kaun dekhega