Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hazin Ludhianvi's Photo'

Hazin Ludhianvi

Hazin Ludhianvi

Ghazal 18

Sher-o-Shayari 6

nazar na aa.ī kabhī phir vo gaañv gorī

agarche mil ga.e dehāt aa ke shahroñ se

nazar na aai kabhi phir wo ganw ki gori

agarche mil gae dehat aa ke shahron se

aao mil baiTh kar hañseñ boleñ

nahīñ ma.alūm kab judā ho jaa.eñ

aao mil baiTh kar hansen bolen

nahin malum kab juda ho jaen

tulū hogā abhī koī āftāb zarūr

dhuāñ uThā hai sar-e-shām phir charāġhoñ se

tulu hoga abhi koi aaftab zarur

dhuan uTha hai sar-e-sham phir charaghon se

tundī-e-sail-e-vaqt meñ ye bhī hai koī zindagī

sub.h huī to uThe, raat huī to mar ga.e

tundi-e-sail-e-waqt mein ye bhi hai koi zindagi

subh hui to ji uThe, raat hui to mar gae

utar ke nīche kabhī mere saath bhī to chalo

buland khiḌkiyoñ se kab talak pukāroge

utar ke niche kabhi mere sath bhi to chalo

buland khiDkiyon se kab talak pukaroge

BOOKS 2

 

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now