Sher of Hilal Badayuni
kuchh aur de na paa.e zamāne ko ham 'hilāl'
paiġhām-e-amn deñge isī shā.erī se ham
kuchh aur de na pae zamane ko hum 'hilal'
paigham-e-amn denge isi shaeri se hum
ġharīb shaḳhs ko miltā nahīñ kisī bhī tarah
ye ishq ho gayā sarkārī naukrī kī tarah
gharib shaKHs ko milta nahin kisi bhi tarah
ye ishq ho gaya sarkari naukri ki tarah
jab chhuā hogā us ne phūloñ ko
hosh ḳhushbū ke uḌ ga.e hoñge
jab chhua hoga us ne phulon ko
hosh KHushbu ke uD gae honge
tumhāre sāmne jazbāt saare khol saktā huuñ
jo sunñā chāhte ho tum maiñ vo bhī bol saktā huuñ
tumhaare samne jazbaat sare khol sakta hun
jo sunna chahte ho tum main wo bhi bol sakta hun
maujūd mere dil meñ tumhārī jo yaad hai
ye merī milkiyat hai mirī jā.edād hai
maujud mere dil mein tumhaari jo yaad hai
ye meri milkiyat hai meri jaedad hai
tum ne jo mere dil ko pareshān kiyā hai
ye ghar to tumhārā thā jo vīrān kiyā hai
tum ne jo mere dil ko pareshan kiya hai
ye ghar to tumhaara tha jo viran kiya hai
kahne pe tere maañ ko bhalā kaise chhoḌ duuñ
tū aisā kar ki dūsrā shauhar talāsh kar
kahne pe tere man ko bhala kaise chhoD dun
tu aisa kar ki dusra shauhar talash kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maujūd mere dil meñ jo zaḳhmoñ ke daaġh haiñ
vo ek bevafā ke sitam ke charāġh haiñ
maujud mere dil mein jo zaKHmon ke dagh hain
wo ek bewafa ke sitam ke charagh hain
saare jahāñ meñ mere sukūñ kā nishāñ nahīñ
sab kuchh hai mere paas magar merī maañ nahīñ
sare jahan mein mere sukun ka nishan nahin
sab kuchh hai mere pas magar meri man nahin
sirf rishta nahīñ ek ehsās hai
duur ho kar bhī maañ to mire paas hai
sirf rishta nahin ek ehsas hai
dur ho kar bhi man to mere pas hai
mujhe ye faḳhr hai tum ko ḳhayāl rahtā hai
tumhāre zehn meñ koī 'hilāl' rahtā hai
mujhe ye faKHr hai tum ko KHayal rahta hai
tumhaare zehn mein koi 'hilal' rahta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mire nikāh se pahle ye baat likh denā
tum apne mehr meñ merī hayāt likh denā
mere nikah se pahle ye baat likh dena
tum apne mehr mein meri hayat likh dena
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chehre se na jānegā āvāz se jānegā
har shaḳhs mujhe mere andāz se jānegā
chehre se na jaanega aawaz se jaanega
har shaKHs mujhe mere andaz se jaanega
'hilāl' aur ziyāda ho terā zor-e-qalam
ye shā.erī tirī dil kī zabān tak pahuñchī
'hilal' aur ziyaada ho tera zor-e-qalam
ye shaeri teri dil ki zaban tak pahunchi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maza to jab hai ki dil kā añdherā miT jaa.e
gharoñ meñ laakh charāġhāñ kiyā kare koī
maza to jab hai ki dil ka andhera miT jae
gharon mein lakh charaghan kiya kare koi
shajar pe ishq ke pattā harā nahīñ utrā
mirī kasauTī pe tū bhī kharā nahīñ utrā
shajar pe ishq ke patta hara nahin utra
meri kasauTi pe tu bhi khara nahin utra
unheñ batāo buzurgoñ kā hai karam is par
'hilāl' achchhā suḳhanvar isī liye to hai
unhen batao buzurgon ka hai karam is par
'hilal' achchha suKHanwar isi liye to hai