Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher of Irfan Ahmad

nashsha thā zindagī sharāboñ se tez-tar

ham gir paḌe to maut uThā le ga.ī hameñ

nashsha tha zindagi ka sharabon se tez-tar

hum gir paDe to maut uTha le gai hamein

zaḳhm jo ne diye tujh ko dikhā to duuñ magar

paas tere bhī nasīhat ke sivā hai aur kyā

zaKHm jo tu ne diye tujh ko dikha to dun magar

pas tere bhi nasihat ke siwa hai aur kya

jaane kis shahr meñ ābād hai

ham haiñ barbād yahāñ tere baad

jaane kis shahr mein aabaad hai tu

hum hain barbaad yahan tere baad

akele paar utar ke bahut hai ranj mujhe

maiñ us bojh uThā kar bhī tair saktā thā

akele par utar ke bahut hai ranj mujhe

main us ka bojh uTha kar bhi tair sakta tha

ġham-e-hayāt ne baḳhshe haiñ saare sannāTe

kabhī hamāre bhī pahlū meñ dil dhaḌaktā thā

gham-e-hayat ne baKHshe hain sare sannaTe

kabhi hamare bhi pahlu mein dil dhaDakta tha

tark-e-ta.alluqāt bas intihā na pūchh

ab ke to maiñ ne tark kiyā apne aap ko

tark-e-talluqat ki bas intiha na puchh

ab ke to main ne tark kiya apne aap ko

har lamha mere dhyān meñ rahtā thā ek shaḳhs

phir yuuñ huā vo dhyān se aage nikal gayā

har lamha mere dhyan mein rahta tha ek shaKHs

phir yun hua wo dhyan se aage nikal gaya

ujlat meñ āsmān se aage nikal gayā

maiñ apne makān se aage nikal gayā

ujlat mein aasman se aage nikal gaya

main apne hi makan se aage nikal gaya

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now