aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jameeluddin Aali's Photo'

Jameeluddin Aali

1925 - 2015 | Karachi, Pakistan

Famous for writing Dohas.

Famous for writing Dohas.

Sher of Jameeluddin Aali

1.3K
Favorite

SORT BY

tere ḳhayāl ke dīvār-o-dar banāte haiñ

ham apne ghar meñ bhī terā ghar banāte haiñ

tere KHayal ke diwar-o-dar banate hain

hum apne ghar mein bhi tera hi ghar banate hain

kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azīzoñ ke

in se jīvan bantā hai so jīvan ban jā.egā

kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azizon ke

in se hi jiwan banta hai so jiwan ban jaega

tum aise kaun ḳhudā ho ki umr bhar tum se

umiid bhī na rakhūñ nā-umīd bhī na rahūñ

tum aise kaun KHuda ho ki umr bhar tum se

umid bhi na rakhun na-umid bhi na rahun

bikherte raho sahrā meñ biij ulfat ke

ki biij to ubhar kar shajar banāte haiñ

bikherte raho sahra mein bij ulfat ke

ki bij hi to ubhar kar shajar banate hain

ajnabiyoñ se dhoke khānā phir bhī samajh meñ aatā hai

is ke liye kyā kahte ho vo shaḳhs to dekhā-bhālā thā

ajnabiyon se dhoke khana phir bhi samajh mein aata hai

is ke liye kya kahte ho wo shaKHs to dekha-bhaala tha

ek ajiib raag hai ek ajiib guftugū

saat suroñ aag hai āThvīñ sur justujū

ek ajib rag hai ek ajib guftugu

sat suron ki aag hai aaThwin sur ki justuju

koī va.ada vo kar jo puurā ho

koī sikka vo de ki jaarī ho

koi wada wo kar jo pura ho

koi sikka wo de ki jari ho

kyā kyā rog lage haiñ dil ko kyā kyā un ke bhed

ham sab ko samjhāne vaale kaun hameñ samjhā.e

kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhed

hum sab ko samjhane wale kaun hamein samjhae

na tire sivā koī likh sake na mire sivā koī paḌh sake

ye hurūf-e-be-varaq-o-sabaq hameñ kyā zabān sikhā ga.e

na tere siwa koi likh sake na mere siwa koi paDh sake

ye huruf-e-be-waraq-o-sabaq hamein kya zaban sikha gae

jaane kyuuñ logoñ nazreñ tujh tak pahuñchīñ ham ne to

barsoñ ba.ad ġhazal rau meñ ik mazmūn nikālā thā

jaane kyun logon ki nazren tujh tak pahunchin hum ne to

barson baad ghazal ki rau mein ek mazmun nikala tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now