Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer's Photo'

Jatinder Vir Yakhmi jayaveer

1946 - - | Mumbai, India

Sher of Jatinder Vir Yakhmi jayaveer

ḳhuub gahrī jo lagī choT to ham ne jaanā

vaqt lagtā hai kisī dard ko jaate jaate

KHub gahri jo lagi choT to hum ne jaana

waqt lagta hai kisi dard ko jate jate

dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-halī sabhī

vaqt kaaTe kaTe to kyā kareñ kis se kaheñ

dukh kaTe zahmat kaTe kaT jae bad-hali sabhi

waqt kaTe na kaTe to kya karen kis se kahen

mere ḳhvāboñ ke jharokoñ ko sajāte rahiye

na sahī vasl magar yaad to aate rahiye

mere KHwabon ke jharokon ko sajate rahiye

na sahi wasl magar yaad to aate rahiye

laakh chāhā ki ho pahchān koī apnī bhī

kaash ham aap ke naam se jaane jaate

lakh chaha ki ho pahchan koi apni bhi

kash hum aap ke hi nam se jaane jate

vo nahīñ āj-kal ḳhafā ham se

koī niklā hai rāsta shāyad

wo nahin aaj-kal KHafa hum se

koi nikla hai rasta shayad

aa.e haiñ sunte ki aisā vaqt bhī aatā hai jab

ho davā phir duā kuchh kārgar hotā nahīñ

aae hain sunte ki aisa waqt bhi aata hai jab

ho dawa ya phir dua kuchh kargar hota nahin

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now