Sher of Javed Lakhnvi
kahīñ aisā na ho mar jā.ūñ maiñ hasrat hī hasrat meñ
jo lenā ho to le lo sab se pahle imtihāñ merā
kahin aisa na ho mar jaun main hasrat hi hasrat mein
jo lena ho to le lo sab se pahle imtihan mera
shab-e-vasl kyā jaane kyā yaad aayā
vo kuchh aap hī aap sharmā rahe haiñ
shab-e-wasl kya jaane kya yaad aaya
wo kuchh aap hi aap sharma rahe hain
tumheñ hai nashsha javānī kā ham meñ ġhaflat-e-ishq
na iḳhtiyār meñ tum ho na iḳhtiyār meñ ham
tumhein hai nashsha jawani ka hum mein ghaflat-e-ishq
na iKHtiyar mein tum ho na iKHtiyar mein hum
ye ik bose pe itnī bahs ye zebā nahīñ tum ko
nahīñ hai yaad mujh ko ḳhair achchhā le liyā hogā
ye ek bose pe itni bahs ye zeba nahin tum ko
nahin hai yaad mujh ko KHair achchha le liya hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum paas jo aa.e kho ga.e ham
jab tum na mile to justujū kī
tum pas jo aae kho gae hum
jab tum na mile to justuju ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sūrat na yuuñ dikhā.e unheñ baar baar chāñd
paidā kare hasīnoñ meñ kuchh e'tibār chāñd
surat na yun dikhae unhen bar bar chand
paida kare hasinon mein kuchh e'tibar chand
sab ḳhat tamām kar chuke paḌh paḌh ke shauq se
vaañ tham ga.e jahāñ pe mirā naam aa gayā
sab KHat tamam kar chuke paDh paDh ke shauq se
wan tham gae jahan pe mera nam aa gaya
tum diye jaao yūñhī ham ko havā dāman kī
ham se behosh nahīñ hosh meñ aane vaale
tum diye jao yunhi hum ko hawa daman ki
hum se behosh nahin hosh mein aane wale
un ko to sahl hai vo ġhair ke ghar jā.eñge
ham jo us dar se uTheñge to kidhar jā.eñge
un ko to sahl hai wo ghair ke ghar jaenge
hum jo us dar se uThenge to kidhar jaenge
ḳhaak uḌ ke hamārī tire kūche meñ pahuñchtī
taqdīr thī ye bhī ki havā bhī na chalī aaj
KHak uD ke hamari tere kuche mein pahunchti
taqdir thi ye bhi ki hawa bhi na chali aaj
ummīd kā burā ho samjhā ki aap aa.e
be-vaj.h shab ko hil kar zanjīr-e-dar ne maarā
ummid ka bura ho samjha ki aap aae
be-wajh shab ko hil kar zanjir-e-dar ne mara
hai diloñ kā vahī jo dāna-e-tasbīh kā haal
yuuñ mile haiñ pa haiñ dar-asl judā ek se ek
hai dilon ka wahi jo dana-e-tasbih ka haal
yun mile hain pa hain dar-asl juda ek se ek
jis jagah jaa.eñ banā leñ tire vahshī sahrā
ḳhaak le aa.e haiñ muTThī meñ bayābānoñ kī
jis jagah jaen bana len tere wahshi sahra
KHak le aae hain muTThi mein bayabanon ki
abhī to aag siine meñ kahīñ kam hai kahīñ zaa.id
agar mil pā.eñge aapas meñ sab chhāle to kyā hogā
abhi to aag sine mein kahin kam hai kahin zaid
agar mil paenge aapas mein sab chhaale to kya hoga