Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jayant Parmar's Photo'

Jayant Parmar

1955 | Ahmedabad, India

Sahitya Academy award-winner, known for introducing Dalit discourse in Urdu.

Sahitya Academy award-winner, known for introducing Dalit discourse in Urdu.

Jayant Parmar

Ghazal 5

 

Nazm 10

Sher-o-Shayari 5

bistar pe leTe leTe mirī aañkh lag ga.ī

ye kaun mere kamre battī bujhā gayā

bistar pe leTe leTe meri aankh lag gai

ye kaun mere kamre ki batti bujha gaya

dil ko dukhātī hai phir bhī kyuuñ achchhī lagtī hai

yādoñ ye shaam suhānī dil meñ qaid huī

dil ko dukhati hai phir bhi kyun achchhi lagti hai

yaadon ki ye sham suhani dil mein qaid hui

har ek shāḳh ke hāthoñ meñ phuul mahkeñge

ḳhizāñ peḌ bhī kapḌe badalnā chāhtā hai

har ek shaKH ke hathon mein phul mahkenge

KHizan ka peD bhi kapDe badalna chahta hai

lams vo raushnī bhī bujh ga.ī

jism ke andar añdherā aur hai

lams ki wo raushni bhi bujh gai

jism ke andar andhera aur hai

jugnū thā taarā thā kyā thā

darvāze par kaun khaḌā thā

jugnu tha tara tha kya tha

darwaze par kaun khaDa tha

Doha 6

aas bañdhātī hai sadā sukh hogī bhor

apne irādoñ ko abhī mat karnā kamzor

aas bandhati hai sada sukh ki hogi bhor

apne iradon ko abhi mat karna kamzor

  • Share this

chāhat bhāshā nahīñ shabdoñ ko mat tol

ḳhāmoshī giit sun chāñd khiḌkī khol

chahat ki bhasha nahin shabdon ko mat tol

KHamoshi ka git sun chand ki khiDki khol

  • Share this

jaaḌe rut hai na.ī tan par niilī shaal

tere saath achchhī lagī sardī ab ke saal

jaDe ki rut hai nai tan par nili shaal

tere sath achchhi lagi sardi ab ke sal

  • Share this

maañg bharūñ sindūr se sajūñ sola-siñgār

jab tak pahnūñgī nahīñ un bāhoñ haar

mang bharun sindur se sajun sola-singar

jab tak pahnungi nahin un bahon ka haar

  • Share this

laakh chhupā.e na chhupe in rātoñ bhed

āñkhoñ ke ākāsh meñ paḌhe the chāroñ ved

lakh chhupae na chhupe in raaton ka bhed

aankhon ke aakash mein paDhe the chaaron wed

  • Share this

BOOKS 11

Audios 5

chaa.nd un aa.nkho.n ne dekhaa aur hai

Gubaar-e-jaa.n se sitaaraa nikalnaa chaahtaa hai

jugnuu thaa taaraa thaa kyaa thaa

Recitation

RELATED Poets

More Poets From "Ahmedabad"

Recitation

Speak Now