Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khalid Iqbal Yasir's Photo'

Khalid Iqbal Yasir

1952 | Pakistan

Khalid Iqbal Yasir

Ghazal 18

Sher-o-Shayari 12

rahtī hai saath saath koī ḳhush-gavār yaad

tujh se bichhaḌ ke terī rifāqat ga.ī nahīñ

rahti hai sath sath koi KHush-gawar yaad

tujh se bichhaD ke teri rifaqat gai nahin

lagtā hai zinda rahne hasrat ga.ī nahīñ

mar ke bhī saañs lene aadat ga.ī nahīñ

lagta hai zinda rahne ki hasrat gai nahin

mar ke bhi sans lene ki aadat gai nahin

haañ ye mumkin hai magar itnā zarūrī bhī nahīñ

jo koī pyaar meñ haarā vahī fankār huā

han ye mumkin hai magar itna zaruri bhi nahin

jo koi pyar mein haara wahi fankar hua

bhuul jaanā thā jise sabt hai dil par mere

yaad rakhnā thā jise us ko bhulā baiThā huuñ

bhul jaana tha jise sabt hai dil par mere

yaad rakhna tha jise us ko bhula baiTha hun

ḳhud apnī shakl dekhe ek muddat ho ga.ī mujh ko

uThā letā hai patthar TuuTe ā.īne nahīñ detā

KHud apni shakl dekhe ek muddat ho gai mujh ko

uTha leta hai patthar TuTe aaine nahin deta

BOOKS 48

Recitation

Speak Now