Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Khalid Siddiqui

Sher of Khalid Siddiqui

ik aur khet pakkī saḌak ne nigal liyā

ik aur gaañv shahar vus.at meñ kho gayā

ek aur khet pakki saDak ne nigal liya

ek aur ganw shahar ki wusat mein kho gaya

bahut tanhā hai vo ūñchī havelī

mire gaañv ke in kachche gharoñ meñ

bahut tanha hai wo unchi haweli

mere ganw ke in kachche gharon mein

ye kaisī hijrateñ haiñ mausamoñ meñ

parinde bhī nahīñ haiñ ghoñsloñ meñ

ye kaisi hijraten hain mausamon mein

parinde bhi nahin hain ghonslon mein

jo aañkh putlī meñ rahā nuur sūrat

vo shaḳhs mire ghar ke añdhere sabab hai

jo aankh ki putli mein raha nur ki surat

wo shaKHs mere ghar ke andhere ka sabab hai

be-kār hai be-ma.anī hai aḳhbār surḳhī

likkhā hai jo dīvār pe vo ġhaur-talab hai

be-kar hai be-mani hai aKHbar ki surKHi

likkha hai jo diwar pe wo ghaur-talab hai

yuuñ agar ghaTte rahe insāñ to 'ḳhālid' dekhnā

is zamīñ par bas ḳhudā bastiyāñ rah jā.eñgī

yun agar ghaTte rahe insan to 'KHalid' dekhna

is zamin par bas KHuda ki bastiyan rah jaengi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now