Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Khawar Ahmad

1955 | Pakistan

Sher of Khawar Ahmad

aise khilā vo phuul chehra phailī saare ghar ḳhushbū

ḳhat ko chhupā kar paḌhne vaalī raaz chhupānā bhuul ga.ī

aise khila wo phul sa chehra phaili sare ghar KHushbu

KHat ko chhupa kar paDhne wali raaz chhupana bhul gai

us ke andāz se jhalaktā thā koī kirdār dāstānoñ

us āvāz se bikhartī thī koī ḳhushbū kisī kahānī

us ke andaz se jhalakta tha koi kirdar dastanon ka

us ki aawaz se bikharti thi koi KHushbu kisi kahani ki

us ke ba.ad to jo karnā thā aap janāb ne karnā thā

us to me.arāj yahī thī aap janāb tak aayā vo

us ke baad to jo karna tha aap janab ne karna tha

us ki to mearaj yahi thi aap janab tak aaya wo

chalā gayā hai to shahr phir vahī dasht-e-ġham hai mire liye

vahī maiñ huuñ aur mirī zindagī mire āñsuoñ meñ bharī huī

tu chala gaya hai to shahr phir wahi dasht-e-gham hai mere liye

wahi main hun aur meri zindagi mere aansuon mein bhari hui

hujūm-e-sañg meñ kyā ho suḳhan-tarāz koī

vo ham-suḳhan thā to kyā kyā na ḳhush-kalām the ham

hujum-e-sang mein kya ho suKHan-taraaz koi

wo ham-suKHan tha to kya kya na KHush-kalam the hum

mire lahū se jis ke barg-o-bār meñ bahār hai

vahī shajar mire liye salīb kaise ho gayā

mere lahu se jis ke barg-o-bar mein bahaar hai

wahi shajar mere liye salib kaise ho gaya

Recitation

Speak Now