Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Maikash Akbarabadi's Photo'

Maikash Akbarabadi

1902 - 1991 | Agra, India

Sher of Maikash Akbarabadi

853
Favorite

SORT BY

mire fusūñ ne dikhā.ī hai tere ruḳh sahar

mire junūñ ne banā.ī hai tere zulf shaam

mere fusun ne dikhai hai tere ruKH ki sahar

mere junun ne banai hai tere zulf ki sham

tirī zulfoñ ko kyā suljhā.ūñ ai dost

mirī rāhoñ meñ pech-o-ḳham bahut haiñ

teri zulfon ko kya suljhaun ai dost

meri rahon mein pech-o-KHam bahut hain

aap merī kahānī ek hai

kahiye ab maiñ kyā sunā.ūñ kyā sunūñ

aap ki meri kahani ek hai

kahiye ab main kya sunaun kya sunun

pahuñch jā.egā ye haath terī zulfoñ tak

yūñhī junūñ agar silsila darāz rahā

pahunch hi jaega ye hath teri zulfon tak

yunhi junun ka agar silsila daraaz raha

thī junūñ-āmez apnī guftugū

baat matlab bhī lekin kah ga.e

thi junun-amez apni guftugu

baat matlab ki bhi lekin kah gae

ye maslak apnā apnā hai ye fitrat apnī apnī hai

jalāo āshiyāñ tum ham kareñge āshiyāñ paidā

ye maslak apna apna hai ye fitrat apni apni hai

jalao aashiyan tum hum karenge aashiyan paida

nahīñ hai dil sukūñ qismat-e-tamannā meñ

tumheñ bhī dil tamannā banā ke dekh liyā

nahin hai dil ka sukun qismat-e-tamanna mein

tumhein bhi dil ki tamanna bana ke dekh liya

zabāñ pe nām-e-mohabbat bhī jurm thā ya.anī

ham un se jurm-e-mohabbat bhī baḳhshvā na sake

zaban pe nam-e-mohabbat bhi jurm tha yani

hum un se jurm-e-mohabbat bhi baKHshwa na sake

sab kuchh hai aur kuchh nahīñ ai dād-ḳhvāh-e-ishq

vo dekh kar na dekhnā nīchī nigāh se

sab kuchh hai aur kuchh nahin ai dad-KHwah-e-ishq

wo dekh kar na dekhna nichi nigah se

naza.a tak dil us ko dohrāyā kiyā

ik tabassum meñ vo kyā kuchh kah ga.e

naza tak dil us ko dohraya kiya

ek tabassum mein wo kya kuchh kah gae

baiThe rahe vo ḳhūn-e-tamannā kiye hue

dekhā kiye unheñ nigah-e-iltijā se ham

baiThe rahe wo KHun-e-tamanna kiye hue

dekha kiye unhen nigah-e-iltija se hum

kuchh is tarah tirī ulfat meñ kaaT maiñ ne

gunāhgār huā aur na pāk-bāz rahā

kuchh is tarah teri ulfat mein kaT di main ne

gunahgar hua aur na pak-baz raha

charāġh-e-kushta le kar ham tirī mahfil meñ kyā aate

jo din the zindagī ke vo to raste meñ guzār aa.e

charagh-e-kushta le kar hum teri mahfil mein kya aate

jo din the zindagi ke wo to raste mein guzar aae

ham ne laale tarah is daur meñ

aañkh kholī thī ki dekhā dil ḳhuuñ

hum ne lale ki tarah is daur mein

aankh kholi thi ki dekha dil ka KHun

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now