Sher of Maroof Raebarelvi
tire badan kī mahak ko gulāb se tashbīh
ki jaise koī dikhā.e charāġh sūraj ko
tere badan ki mahak ko gulab se tashbih
ki jaise koi dikhae charagh suraj ko
maiñ pur-umīd rahā ma.arka koī bhī rahā
magar ye raat ki jis kī koī sahar hī nahīñ
main pur-umid raha marka koi bhi raha
magar ye raat ki jis ki koi sahar hi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hamāre muñh pe uḌātā huā vo dhuul gayā
hamīñ ne chalnā sikhāyā hamīñ ko bhuul gayā
hamare munh pe uData hua wo dhul gaya
hamin ne chalna sikhaya hamin ko bhul gaya
aap aur kuchh ġhalat kahīñ tauba
jo ye kah de gunāhgār hai vo
aap aur kuchh ghalat kahin tauba
jo ye kah de gunahgar hai wo
yaqīn mānav ki urdu jo bol saktā hai
vo pattharoñ kā jigar bhī TaTol saktā hai
yaqin manaw ki urdu jo bol sakta hai
wo pattharon ka jigar bhi TaTol sakta hai
haqīqat se haiñ kosoñ duur afsānoñ ko kyā dekheñ
hoñ jin ke haath naqlī un ke dastānoñ ko kyā dekheñ
haqiqat se hain koson dur afsanon ko kya dekhen
hon jin ke hath naqli un ke dastanon ko kya dekhen
asar duāoñ meñ hotā hai kis qadar 'mārūf'
balā.eñ dekhī haiñ ham ne saroñ se Talte hue
asar duaon mein hota hai kis qadar 'maruf'
balaen dekhi hain hum ne saron se Talte hue
nisār karne lage apnī jaan parvāne
na jaane sham.a ne kyā keh diyā pighalte hue
nisar karne lage apni jaan parwane
na jaane shama ne kya keh diya pighalte hue
vaqt jab aaya to sab da.ave zabānī nikle
yaar samjhe the jinheñ dushman-e-jānī nikle
waqt jab aaya to sab dawe zabani nikle
yar samjhe the jinhen dushman-e-jaani nikle