Sher of Meerza Jawan Bakht Jahandar
āḳhir gil apnī sarf-e-dar-e-mai-kada huī
pahuñche vahāñ hī ḳhaak jahāñ kā ḳhamīr ho
aaKHir gil apni sarf-e-dar-e-mai-kada hui
pahunche wahan hi KHak jahan ka KHamir ho
tire ishq se jab se paale paḌe haiñ
hameñ apne jiine ke laale paḌe haiñ
tere ishq se jab se pale paDe hain
hamein apne jine ke lale paDe hain
mujh dil meñ hai jo but kī parastish kī aarzū
dekhī nahīñ vo aaj talak barhaman ke biich
mujh dil mein hai jo but ki parastish ki aarzu
dekhi nahin wo aaj talak barhaman ke bich
kaheñ so kis se 'jahāñdār' us kī nazroñ meñ
raqīb kaam ke Thahre aur ham haiñ nā-kāre
kahen so kis se 'jahandar' us ki nazron mein
raqib kaam ke Thahre aur hum hain na-kare
kī dil ne dil-barān-e-jahāñ kī bahut talāsh
kui dil-rubā milā hai na dil-ḳhvāh kyā kare
ki dil ne dil-baran-e-jahan ki bahut talash
kui dil-ruba mila hai na dil-KHwah kya kare
basān-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-vafā
uThāte sar nahīñ hargiz tabāh ke maare
basan-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-wafa
uThate sar nahin hargiz tabah ke mare
sar-rishta kufr-o-dīñ kā haqīqat meñ ek hai
jo tār-e-sub.ha hai so hai zunnār dekhnā
sar-rishta kufr-o-din ka haqiqat mein ek hai
jo tar-e-subha hai so hai zunnar dekhna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirā ḳhūn-e-dil yuuñ bahā dasht meñ
ki jañgal meñ lohū ke thāle paḌe
mera KHun-e-dil yun baha dasht mein
ki jangal mein lohu ke thaale paDe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download