Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Mirza Asman Jah Anjum

Lucknow, India

Son and crown prince of the last nawab of Awadh Wajid Ali Shah

Son and crown prince of the last nawab of Awadh Wajid Ali Shah

Sher of Mirza Asman Jah Anjum

1.2K
Favorite

SORT BY

mohabbat is liye zāhir nahīñ

ki tum ko e'tibār aa.e na aa.e

mohabbat is liye zahir nahin ki

ki tum ko e'tibar aae na aae

nahīñ hai der yahāñ apnī jaan jaane meñ

tumhāre aane bas intizār baaqī hai

nahin hai der yahan apni jaan jaane mein

tumhaare aane ka bas intizar baqi hai

kuchh nahīñ ma.alūm hotā dil uljhan sabab

kis ko dekhā thā ilāhī baal suljhāte hue

kuchh nahin malum hota dil ki uljhan ka sabab

kis ko dekha tha ilahi baal suljhate hue

bā.is-e-tark-e-mulāqāt batāo to sahī

chāhne vaalā koī ham dikhāo to sahī

bais-e-tark-e-mulaqat batao to sahi

chahne wala koi hum sa dikhao to sahi

maiñ ne maanā ki dil nahīñ nākām

phir mire kaam kyuuñ nahīñ aatā

main ne mana ki dil nahin nakaam

phir mere kaam kyun nahin aata

na tasallī na tashaffī na dilāsā na vafā

umr ko kāTeñ tire chāhne vaale kyūñ-kar

na tasalli na tashaffi na dilasa na wafa

umr ko kaTen tere chahne wale kyun-kar

shab-e-hijr jab ḳhvāb dekhā ye dekhā

ki tujh ko gale se lagā.e hue haiñ

shab-e-hijr jab KHwab dekha ye dekha

ki tujh ko gale se lagae hue hain

ham lab-e-gor ho ga.e zālim

lab-e-bām kyuuñ nahīñ aatā

hum lab-e-gor ho gae zalim

tu lab-e-baam kyun nahin aata

unheñ hāl-e-dil kis tarah likh ke bhejeñ

na ham un se vāqif na vo ham se vāqif

unhen haal-e-dil kis tarah likh ke bhejen

na hum un se waqif na wo hum se waqif

na pūchhā us masīhā se kisī ne

tire bīmār bhī kuchh davā hai

na puchha us masiha se kisi ne

tere bimar ki bhi kuchh dawa hai

jab maiñ kahtā huuñ ki nādim ho kuchh apne zulm par

sar jhukā kar kahte haiñ sharm-o-hayā se kyā kaheñ

jab main kahta hun ki nadim ho kuchh apne zulm par

sar jhuka kar kahte hain sharm-o-haya se kya kahen

haath TūTeñ jo chhuā bhī ho haath

dukh ga.ī un kalā.ī kyūñ-kar

hath TuTen jo chhua bhi ho hath

dukh gai un ki kalai kyun-kar

ḳhizāñ ruḳhsat huī phir āmad-e-fasl-e-bahārī hai

garebāñ ḳhud-baḳhud hone lagā hai dhajjiyāñ merā

KHizan ruKHsat hui phir aamad-e-fasl-e-bahaari hai

gareban KHud-baKHud hone laga hai dhajjiyan mera

ham apnī ruuh ko qāsid banā ke bhejeñge

tirā guzar jo vahāñ nāma-bar nahīñ na sahī

hum apni ruh ko qasid bana ke bhejenge

tera guzar jo wahan nama-bar nahin na sahi

abhī aa.e abhī kahne lage lo jaate haiñ

aag lene ko jo aa.e the to aanā kyā thā

abhi aae abhi kahne lage lo jate hain

aag lene ko jo aae the to aana kya tha

ye hai āvāra-tabī.at aur vo nāzuk-mizāj

maiñ dil-e-vārafta nazr-e-yār kar saktā nahīñ

ye hai aawara-tabiat aur wo nazuk-mizaj

main dil-e-warafta nazr-e-yar kar sakta nahin

un ke aane meñ kyuuñ ḳhalal Daalā

satyanās ho tirā badlī

un ke aane mein kyun KHalal Dala

satyanas ho tera badli

ḳhud-ba-ḳhud yak-ba-yak chale aa.e

maiñ to āñkheñ talak bichhā na sakā

KHud-ba-KHud yak-ba-yak chale aae

main to aankhen talak bichha na saka

ḳhudā ghar bhī hai dil meñ butoñ chaah bhī hai

sanam-kada bhī hai dil apnā ḳhānqāh bhī hai

KHuda ka ghar bhi hai dil mein buton ki chah bhi hai

sanam-kada bhi hai dil apna KHanqah bhi hai

ye bhī na pūchhā tum ne 'anjum' jiitā hai martā hai

vāh-jī-vā āshiq se koī aisī ġhaflat kartā hai

ye bhi na puchha tum ne 'anjum' jita hai ya marta hai

wah-ji-wa aashiq se koi aisi ghaflat karta hai

lagegī kashtī-e-dil sāhil-e-ummīd par

dīda-e-tar se agar dariyā ravāñ ho jā.egā

ja lagegi kashti-e-dil sahil-e-ummid par

dida-e-tar se agar dariya rawan ho jaega

terī marzī gar isī meñ hai ki ho dīdār-e-ām

ham ne āñkhoñ par qadam saare zamāne ke liye

teri marzi gar isi mein hai ki ho didar-e-am

hum ne aankhon par qadam sare zamane ke liye

kuchh kahānī nahīñ mirā qissa

tum suno aur kahā kare koī

kuchh kahani nahin mera qissa

tum suno aur kaha kare koi

misāl-e-charḳh rahā āsmāñ sar-gardāñ

par aaj tak na khulā ye ki justujū kyā hai

misal-e-charKH raha aasman sar-gardan

par aaj tak na khula ye ki justuju kya hai

ham bhī ab apnī mohabbat se uThāte haiñ haath

chāhne vaalā agar ham ko dikhā aur koī

hum bhi ab apni mohabbat se uThate hain hath

chahne wala agar hum ko dikha aur koi

ye batlāo ham ko bhī pahchānte ho

hameñ kyā jo ho saare aalam se vāqif

ye batlao hum ko bhi pahchante ho

hamein kya jo ho sare aalam se waqif

shab-e-furqat hai Thaharte nahīñ sho.ale dil meñ

taara TuuTā ki mirī aañkh se aañsū TuuTā

shab-e-furqat hai Thaharte nahin shoale dil mein

tara TuTa ki meri aankh se aansu TuTa

thak ga.e ham to fusūñ-sāziyāñ karte karte

us pe chaltā nahīñ mutlaq koī ganDā ta.avīz

thak gae hum to fusun-saziyan karte karte

us pe chalta nahin mutlaq koi ganDa tawiz

dukhātā hai mirā dil be alif re

huā huuñ rañj se maiñ ze alif re

dukhata hai mera dil be alif re

hua hun ranj se main ze alif re

tirī teġh aab jaatī rahī hai

mire zaḳhm paanī churā.e hue haiñ

teri tegh ki aab jati rahi hai

mere zaKHm pani churae hue hain

naqsh hotī jaatī haiñ lākhoñ butoñ sūrateñ

kyā ye dil bhī ḳhitta-e-hindostāñ ho jā.egā

naqsh hoti jati hain lakhon buton ki suraten

kya ye dil bhi KHitta-e-hindostan ho jaega

batā dil ke bachāne koī raah bhī hai

tirī nigāh nāvak-fagan panāh bhī hai

bata tu dil ke bachane ki koi rah bhi hai

teri nigah ki nawak-fagan panah bhi hai

sadā chaman se jo aatī hai roz chaT chaT

balā.eñ ġhunche tirī sub.h o shaam lete haiñ

sada chaman se jo aati hai roz chaT chaT ki

balaen ghunche teri subh o sham lete hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now