ALL
Profile
Ghazal95
Nazm59
Sher114
E-book25
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari9
Audio43
Video70
Gallery 1
Blog2
Doha1
Translated Poetry4
Muneer Niyazi
Ghazal 95
Nazm 59
Sher-o-Shayari 114
ye kaisā nashsha hai maiñ kis ajab ḳhumār meñ huuñ
tū aa ke jā bhī chukā hai maiñ intizār meñ huuñ
ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun
-
Share this
- See Ghazal
kisī ko apne amal kā hisāb kyā dete
savāl saare ġhalat the javāb kyā dete
kisi ko apne amal ka hisab kya dete
sawal sare ghalat the jawab kya dete
-
Share this
- See Ghazal
āvāz de ke dekh lo shāyad vo mil hī jaa.e
varna ye umr bhar kā safar rā.egāñ to hai
aawaz de ke dekh lo shayad wo mil hi jae
warna ye umr bhar ka safar raegan to hai
-
Share this
- See Ghazal
jāntā huuñ ek aise shaḳhs ko maiñ bhī 'munīr'
ġham se patthar ho gayā lekin kabhī royā nahīñ
jaanta hun ek aise shaKHs ko main bhi 'munir'
gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
-
Share this
- See Ghazal
ḳhvāb hote haiñ dekhne ke liye
un meñ jā kar magar rahā na karo
KHwab hote hain dekhne ke liye
un mein ja kar magar raha na karo
-
Share this
- See Ghazal
Doha 1
Translated Poetry 4
BOOKS 25
Image Shayari 9
mohabbat ab nahii.n hogii ye kuchh din baa'd me.n hogii guzar jaa.e.nge jab ye din ye un kii yaad me.n hogii