Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Najmus Saqib's Photo'

Najmus Saqib

1960

Najmus Saqib

Ghazal 13

Sher-o-Shayari 13

mire haath meñ tire naam vo lakīr miTtī chalī ga.ī

mire chāra-gar mire dard vazāhatoñ meñ lage rahe

mere hath mein tere nam ki wo lakir miTti chali gai

mere chaara-gar mere dard ki hi wazahaton mein lage rahe

dil ko aaj tasallī maiñ ne de Daalī

vo sachchā thā us ke vaade jhūTe the

dil ko aaj tasalli main ne de Dali

wo sachcha tha us ke wade jhuTe the

kabhī na TūTne vaalā hisār ban jā.ūñ

vo merī zaat meñ rahne faisla to kare

kabhi na TuTne wala hisar ban jaun

wo meri zat mein rahne ka faisla to kare

badan ko jaañ se judā ho ke zinda rahnā hai

ye faisla hai fanā ho ke zinda rahnā hai

badan ko jaan se juda ho ke zinda rahna hai

ye faisla hai fana ho ke zinda rahna hai

maiñ TuuT ke bikhrā aur na royā vo

ab ke hijr ke mausam kitne jhūTe the

main hi TuT ke bikhra aur na roya wo

ab ke hijr ke mausam kitne jhuTe the

BOOKS 7

 

Audios 8

anaa kii qaid se nikle muqaabla to kare

hunuuz raat hai jalnaa pa.Degaa us ko bhii

jhiil me.n bahte phuul ka.nval ke jhuuTe the

Recitation

Recitation

Speak Now