Sher of Nisar Itavi
yaqīnan rahbar-e-manzil kahīñ par rāstā bhūlā
vagarna qāfile ke qāfile gum ho nahīñ sakte
yaqinan rahbar-e-manzil kahin par rasta bhula
wagarna qafile ke qafile gum ho nahin sakte
aa dost saath aa dar-e-māzī se maañg laa.eñ
vo apnī zindagī ki javāñ bhī hasīñ bhī thī
aa dost sath aa dar-e-mazi se mang laen
wo apni zindagi ki jawan bhi hasin bhi thi
kitne pur-haul añdheroñ se guzar kar ai dost
ham tire husn kī raḳhshanda sahar tak pahuñche
kitne pur-haul andheron se guzar kar ai dost
hum tere husn ki raKHshanda sahar tak pahunche
sub.h bichhaḌ kar shaam kā va.ada shaam kā honā sahal nahīñ
un kī tamannā phir kar lenā sub.h ko pahle shaam karo
subh bichhaD kar sham ka wada sham ka hona sahal nahin
un ki tamanna phir kar lena subh ko pahle sham karo
ye bhī huā ki dar na tirā kar sake talāsh
ye bhī huā ki ham tire dar se guzar ga.e
ye bhi hua ki dar na tera kar sake talash
ye bhi hua ki hum tere dar se guzar gae
dil meñ kyā kyā gumāñ guzarte haiñ
muskurāo na baat se pahle
dil mein kya kya guman guzarte hain
muskurao na baat se pahle
barsoñ se tirā zikr tirā naam nahīñ hai
lekin ye haqīqat hai ki ārām nahīñ hai
barson se tera zikr tera nam nahin hai
lekin ye haqiqat hai ki aaram nahin hai
mausam-e-gul hai bādal chhā.e khanak rahe haiñ paimāne
kaisī tauba, tauba tauba, tauba nazr-e-jām karo
mausam-e-gul hai baadal chhae khanak rahe hain paimane
kaisi tauba, tauba tauba, tauba nazr-e-jam karo
afsos kisī se miT na sakī insān ke dil kī tishna-labī
shabnam hai ki royā kartī hai bādal haiñ ki barsā karte haiñ
afsos kisi se miT na saki insan ke dil ki tishna-labi
shabnam hai ki roya karti hai baadal hain ki barsa karte hain
shauq kitne fareb detā hai
muskurā kar hamārā naam na le
shauq kitne fareb deta hai
muskura kar hamara nam na le
ye dil vāloñ se pūchho is ko dil vaale samajhte haiñ
bigāḌ aa.ī havā zulfeñ kisī kī yā sañvār aa.ī
ye dil walon se puchho is ko dil wale samajhte hain
bigaD aai hawa zulfen kisi ki ya sanwar aai
kuchh husn ke fasāne tartīb de rahā huuñ
daftar ulaT rahā huuñ har phuul har kalī kā
kuchh husn ke fasane tartib de raha hun
daftar ulaT raha hun har phul har kali ka
vo din guzre ki jab ye zindagānī ik kahānī thī
mujhe ab har kahānī zindagī ma.alūm hotī hai
wo din guzre ki jab ye zindagani ek kahani thi
mujhe ab har kahani zindagi malum hoti hai
nāhīd o qamar ne rātoñ ke ahvāl ko raushan kar to diyā
vo diip kisī se jal na sake jo dil meñ ujālā karte haiñ
nahid o qamar ne raaton ke ahwal ko raushan kar to diya
wo dip kisi se jal na sake jo dil mein ujala karte hain
qafas bhī hai yahāñ sayyād bhī gulchīñ bhī kāñTe bhī
chaman ko ham samajhte haiñ magar apnā chaman ab tak
qafas bhi hai yahan sayyaad bhi gulchin bhi kanTe bhi
chaman ko hum samajhte hain magar apna chaman ab tak
ab bhī jo log sar-e-dār nazar aate haiñ
kuchh vahī mahram-e-asrār nazar aate haiñ
ab bhi jo log sar-e-dar nazar aate hain
kuchh wahi mahram-e-asrar nazar aate hain
tū ne vo soz diyā hai ki ilāhī tauba
zindagī aag ke sho.aloñ meñ basar hotī hai
tu ne wo soz diya hai ki ilahi tauba
zindagi aag ke shoalon mein basar hoti hai
chhupe to kaise chhupe chaman meñ mirā tirā rabt-e-vālihāna
kalī kalī husn kī kahānī nazar nazar ishq kā fasāna
chhupe to kaise chhupe chaman mein mera tera rabt-e-walihana
kali kali husn ki kahani nazar nazar ishq ka fasana
sun ai koh-o-daman ko sabz ḳhil.at baḳhshne vaale
nahīñ miltā tire dar se ġharīboñ ko kafan ab tak
sun ai koh-o-daman ko sabz KHilat baKHshne wale
nahin milta tere dar se gharibon ko kafan ab tak
ai aql saath rah ki paḌegā tujhī se kaam
rāh-e-talab kī manzil-e-āḳhir junūñ nahīñ
ai aql sath rah ki paDega tujhi se kaam
rah-e-talab ki manzil-e-aKHir junun nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kalī kī ḳhū hai bahar-hāl muskurāne kī
vagarna raas kise hai huā zamāne kī
kali ki KHu hai bahar-haal muskurane ki
wagarna ras kise hai hua zamane ki
kal jo zikr-e-jām-o-mīnā aa gayā
merī tauba ko pasīnā aa gayā
kal jo zikr-e-jam-o-mina aa gaya
meri tauba ko pasina aa gaya
mauj-e-taḳhayyul gul kā tabassum partav-e-shabnam bijlī kā saaya
dhokā hai dhokā nām-e-javānī is ko javānī koī na samjhe
mauj-e-taKHayyul gul ka tabassum partaw-e-shabnam bijli ka saya
dhoka hai dhoka nam-e-jawani is ko jawani koi na samjhe
basar kare jo mujāhidāna hayāt use dā.imī milegī
na bhiik meñ zindagī milī hai na bhiik meñ zindagī milegī
basar kare jo mujahidana hayat use daimi milegi
na bhik mein zindagi mili hai na bhik mein zindagi milegi
nigāhoñ se nā-āshnā chand jalve
pas-e-lāla-o-yāsman aur bhī haiñ
nigahon se na-ashna chand jalwe
pas-e-lala-o-yasman aur bhi hain
bahār ho ki mauj-e-mai ki tab.a kī ravāniyāñ
jidhar se vo guzar ga.e ubal paḌīñ javāniyāñ
bahaar ho ki mauj-e-mai ki taba ki rawaniyan
jidhar se wo guzar gae ubal paDin jawaniyan