Sher of Pranav Mishra Tejas
sajda huā hamesha faqīroñ ke ilm par
ham āgahī pe marte haiñ poshāk par nahīñ
sajda hua hamesha faqiron ke ilm par
hum aagahi pe marte hain poshak par nahin
na jaane kaun sī turpan udheḌ rakkhī hai
kisī ke jaane se itnā bhī kaun rotā hai
na jaane kaun si turpan udheD rakkhi hai
kisi ke jaane se itna bhi kaun rota hai
jaate nahīñ haiñ aur kahīñ phāñkne ko dhuul
sahrā hamāre ghar kā hai mehmān in dinoñ
jate nahin hain aur kahin phankne ko dhul
sahra hamare ghar ka hai mehman in dinon
apnī talab meñ shauq se jagte haiñ rāt-bhar
ham ko kisī ke ishq kā maarā na jāniye
apni talab mein shauq se jagte hain raat-bhar
hum ko kisi ke ishq ka mara na jaaniye
mujh se ḳhalā meñ baat bhī karnā nahīñ rafīq
aise ḳhalā meñ baat bhī karnā hai ik gunāh
mujh se KHala mein baat bhi karna nahin rafiq
aise KHala mein baat bhi karna hai ek gunah
cigarette se jā ke duur girā ḳhaak ho gayā
aaya sharar kī shakl meñ soz-e-nihāñ kā dard
cigarette se ja ke dur gira KHak ho gaya
aaya sharar ki shakl mein soz-e-nihan ka dard