Sher of Qasim Ali Khan Afridi
lab-e-shīrīñ se agar ho na terā lab shīrīñ
kohkan tū bhī to ab dāman-e-kohsār na chhoḌ
lab-e-shirin se agar ho na tera lab shirin
kohkan tu bhi to ab daman-e-kohsar na chhoD
mujhe ḳhushī ki giraftār maiñ huā terā
to shaad ho ki hai aisā shikār asiir mirā
mujhe KHushi ki giraftar main hua tera
to shad ho ki hai aisa shikar asir mera
shaiḳh mujh ko na Darā apnī musalmānī thaam
ham faqīroñ kā kisī rañg se īmān na jaa.e
shaiKH mujh ko na Dara apni musalmani tham
hum faqiron ka kisi rang se iman na jae
bas nahīñ chaltā hai varna apne mar jaane ke saath
pheñk dete khod kar duniyā kī sab buniyād ham
bas nahin chalta hai warna apne mar jaane ke sath
phenk dete khod kar duniya ki sab buniyaad hum
hai judā sajda kī jā hindū musalmāñ kī magar
fahm vāloñ ke ta.iiñ dair-o-haram donoñ ek
hai juda sajda ki ja hindu musalman ki magar
fahm walon ke tain dair-o-haram donon ek
kaam hai matlab se chāhe kufr hove yā ki diiñ
jā pahuñchnā hai kisī sūrat se apne yaar tak
kaam hai matlab se chahe kufr howe ya ki din
ja pahunchna hai kisi surat se apne yar tak
nāsehā va.az jo kahtā thā tujhe bin dekhe
dekhte hī tujhe phir jaan ko khote dekhā
naseha waz jo kahta tha tujhe bin dekhe
dekhte hi tujhe phir jaan ko khote dekha
sharāb sāqī-e-kausar se liijo 'āfrīdī'
ye bāda-noshī-e-duniyā hai tujh ko nañg-e-sharāb
sharab saqi-e-kausar se lijo 'afridi'
ye baada-noshi-e-duniya hai tujh ko nang-e-sharab
nargisī chashm dikhā kar ke vo vahshat-zada yaar
ye gayā vo gayā jis tarah ġhazāl aap se aap
nargisi chashm dikha kar ke wo wahshat-zada yar
ye gaya wo gaya jis tarah ghazal aap se aap
yaar kā kūcha hai masjūd-e-ḳhalā.iq dekh le
sañg hai ka.abe meñ mūrat dair meñ hai mushtarak
yar ka kucha hai masjud-e-KHalaiq dekh le
sang hai kabe mein murat dair mein hai mushtarak
ḳhudā ko sajda kar ke mubtazil zāhid huā ab to
to jā kar mah-jabīñ ke āstāñ pe jubba-sā.ī kar
KHuda ko sajda kar ke mubtazil zahid hua ab to
to ja kar mah-jabin ke aastan pe jubba-sai kar
maarā jāvegā bhaag ai nāseh
dekh ye nāznīñ savār aayā
mara jawega bhag ai naseh
dekh ye naznin sawar aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ajab tarah kī hai duniyā ba-rañg-e-bū-qalamūñ
ki hai har ek judāgāna al-amāñ tanhā
ajab tarah ki hai duniya ba-rang-e-bu-qalamun
ki hai har ek judagana al-aman tanha
ishq hai ai dil kaThin kuchh ḳhāna-e-ḳhāla nahīñ
rakh dilerāna qadam tā tujh ko ho imdād-e-dād
ishq hai ai dil kaThin kuchh KHana-e-KHala nahin
rakh dilerana qadam ta tujh ko ho imdad-e-dad