Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ramzi Asim's Photo'

Ramzi Asim

1975 | Multan, Pakistan

Sher of Ramzi Asim

tamām shahr giraftār hai aziyyat meñ

kise kahūñ mire ahbāb ḳhabar rakkhe

tamam shahr giraftar hai aziyyat mein

kise kahun mere ahbab ki KHabar rakkhe

khīñch laa.ī hai tire dasht vahshat varna

kitne dariyā mirī pyaas bujhāne aate

khinch lai hai tere dasht ki wahshat warna

kitne dariya hi meri pyas bujhane aate

ishq thā aur aqīdat se milā karte the

pahle ham log mohabbat se milā karte the

ishq tha aur aqidat se mila karte the

pahle hum log mohabbat se mila karte the

tumhāre saath ka.ī rañj bāñTne haiñ hameñ

so ek din ke liye zindagī se fursat lo

tumhaare sath kai ranj banTne hain hamein

so ek din ke liye zindagi se fursat lo

mirī jagah pe koī aur ho to chīḳh uTThe

maiñ apne aap se itne savāl kartā huuñ

meri jagah pe koi aur ho to chiKH uTThe

main apne aap se itne sawal karta hun

yaanī koī kamī nahīñ mujh meñ

yaanī mujh meñ kamī usī hai

yani koi kami nahin mujh mein

yani mujh mein kami usi ki hai

dasht pyaas kisī taur bujhā.ī jaatī

koī tasvīr paanī dikhā.ī jaatī

dasht ki pyas kisi taur bujhai jati

koi taswir hi pani ki dikhai jati

unheñ aatī nahīñ bazm-e-suḳhan-ārā.ī

hameñ bazm ke ādāb nahīñ aate haiñ

ya unhen aati nahin bazm-e-suKHan-arai

ya hamein bazm ke aadab nahin aate hain

Recitation

Speak Now