Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz's Photo'

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

1859 - 1908 | Kolkata, India

Translator, Poet and compiler and researcher of the ‘Kulliyat-e-Nazeer’

Translator, Poet and compiler and researcher of the ‘Kulliyat-e-Nazeer’

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

Ghazal 5

 

Sher-o-Shayari 7

ḳhudā ne muñh meñ zabān hai to shukr ye hai ki muñh se bolo

ki kuchh dinoñ meñ na muñh rahegā na muñh meñ chaltī zabāñ rahegī

KHuda ne munh mein zaban di hai to shukr ye hai ki munh se bolo

ki kuchh dinon mein na munh rahega na munh mein chalti zaban rahegi

shab-e-firāq chhāyā huā hai rob aisā

bulā bulā ke thake ham qazā nahīñ aa.ī

shab-e-firaq ka chhaya hua hai rob aisa

bula bula ke thake hum qaza nahin aai

ham ro ro ashk bahāte haiñ vo tūfāñ baiThe uThāte haiñ

yuuñ hañs hañs kar farmāte haiñ kyuuñ mard naam Dubotā hai

hum ro ro ashk bahate hain wo tufan baiThe uThate hain

yun hans hans kar farmate hain kyun mard ka nam Dubota hai

anjām ḳhushī duniyā meñ sach kahte ho ġham hotā hai

sābit hai gul aur shabnam se jo hañstā hai vo rotā hai

anjam KHushi ka duniya mein sach kahte ho gham hota hai

sabit hai gul aur shabnam se jo hansta hai wo rota hai

'shahbāz' meñ aib nahīñ kul

ek aadh koī hunar bhī hogā

'shahbaz' mein aib hi nahin kul

ek aadh koi hunar bhi hoga

Rubai 15

BOOKS 14

More Poets From "Kolkata"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now