Sher of Shaukat Pardesi
us kī hañsī tum kyā samjho
vo jo pahroñ royā hai
us ki hansi tum kya samjho
wo jo pahron roya hai
un kī nigāh-e-nāz kī gardish ke saath saath
mahsūs ye huā ki zamāna badal gayā
un ki nigah-e-naz ki gardish ke sath sath
mahsus ye hua ki zamana badal gaya
ai inqalāb-e-nau tirī raftār dekh kar
ḳhud ham bhī sochte haiñ ki ab tak kahāñ rahe
ai inqalab-e-nau teri raftar dekh kar
KHud hum bhi sochte hain ki ab tak kahan rahe
sharīk-e-dard nahīñ jab koī to ai 'shaukat'
ḳhud apnī zaat kī bechārgī ġhanīmat hai
sharik-e-dard nahin jab koi to ai 'shaukat'
KHud apni zat ki bechaargi ghanimat hai
apne parā.e thak ga.e kah kar har koshish bekār rahī
vaqt kī baat samajh meñ aa.ī vaqt hī ke samjhāne se
apne parae thak gae kah kar har koshish bekar rahi
waqt ki baat samajh mein aai waqt hi ke samjhane se
hosh vaale to ulajhte hī rahe
rāste tai hue dīvānoñ se
hosh wale to ulajhte hi rahe
raste tai hue diwanon se
husn-e-iḳhlās hī nahīñ varna
aadmī aadmī to aaj bhī hai
husn-e-iKHlas hi nahin warna
aadmi aadmi to aaj bhi hai
qarīb se use dekho to vo bhī tanhā hai
jo duur se nazar aatā hai anjuman yaaro
qarib se use dekho to wo bhi tanha hai
jo dur se nazar aata hai anjuman yaro
nigāh ko bhī mayassar hai dil kī gahrā.ī
ye tarjumān-e-mohabbat hai be-zabāñ na kaho
nigah ko bhi mayassar hai dil ki gahrai
ye tarjuman-e-mohabbat hai be-zaban na kaho
agar tum mil bhī jaate to na hotā ḳhatm afsāna
phir us ke ba.ad dil meñ kyā ḳhabar kyā aarzū hotī
agar tum mil bhi jate to na hota KHatm afsana
phir us ke baad dil mein kya KHabar kya aarzu hoti
vo āñkheñ jo ab ajnabī ho ga.ī haiñ
bahut duur tak un meñ paayā gayā huuñ
wo aankhen jo ab ajnabi ho gai hain
bahut dur tak un mein paya gaya hun
zindagī se koī mānūs to ho le pahle
zindagī ḳhud hī sikhā degī use kaam kī baat
zindagi se koi manus to ho le pahle
zindagi KHud hi sikha degi use kaam ki baat
kuchh to fitrat se milī dānā.ī
kuchh mayassar huī nā-dānoñ se
kuchh to fitrat se mili danai
kuchh mayassar hui na-danon se
kisī kī baazī kaisī ghaat
vaqt kā pāñsa vaqt kī baat
kisi ki bazi kaisi ghat
waqt ka pansa waqt ki baat
tum hī ab vo nahīñ rahe varna
vahī aalam vahī ḳhudā.ī hai
tum hi ab wo nahin rahe warna
wahi aalam wahi KHudai hai
kyā baḌhegā vo tasavvur kī hadoñ se aage
sub.h ko dekh ke yaad aa.e jise shaam kī baat
kya baDhega wo tasawwur ki hadon se aage
subh ko dekh ke yaad aae jise sham ki baat
adhūrā ho ke huuñ kitnā mukammal
ba-mushkil zindagī bikhrā huā huuñ
adhura ho ke hun kitna mukammal
ba-mushkil zindagi bikhra hua hun
havā.eñ rok na pā.īñ bhañvar Dubo na sake
vo ek naav jo azm-e-safar ke ba.ad chalī
hawaen rok na pain bhanwar Dubo na sake
wo ek naw jo azm-e-safar ke baad chali
is faisle pe luT ga.ī duniyā-e-e.atibār
sābit huā gunāh gunahgār ke baġhair
is faisle pe luT gai duniya-e-eatibar
sabit hua gunah gunahgar ke baghair
hañste hañste bahe haiñ aañsū bhī
rote rote hañstī bhī aa.ī hameñ
hanste hanste bahe hain aansu bhi
rote rote hansti bhi aai hamein
detā rahā fareb-e-musalsal koī magar
imkān-e-iltifāt se ham khelte rahe
deta raha fareb-e-musalsal koi magar
imkan-e-iltifat se hum khelte rahe
jab maslahat-e-vaqt se gardan ko jhukā kar
vo baat kare hai to koī tiir lage hai
jab maslahat-e-waqt se gardan ko jhuka kar
wo baat kare hai to koi tir lage hai
nā-shanāsān-e-mohabbat kā gila kyā ki yahāñ
ajnabī vo haiñ ki thī jin se shanāsā.ī bhī
na-shanasan-e-mohabbat ka gila kya ki yahan
ajnabi wo hain ki thi jin se shanasai bhi
mauj-e-tūfāñ se nikal kar bhī salāmat na rahe
nazr-e-sāhil hue dariyā ke shanāvar kitne
mauj-e-tufan se nikal kar bhi salamat na rahe
nazr-e-sahil hue dariya ke shanawar kitne
ahd-e-āġhāz-e-tamannā bhī mujhe yaad nahīñ
mahv-e-hairat huuñ ki itnā bhī mujhe yaad nahīñ
ahd-e-aghaz-e-tamanna bhi mujhe yaad nahin
mahw-e-hairat hun ki itna bhi mujhe yaad nahin
ḳhud vo karte haiñ jise ahd-e-vafā se ta.abīr
sach to ye hai ki vo dhokā bhī mujhe yaad nahīñ
KHud wo karte hain jise ahd-e-wafa se tabir
sach to ye hai ki wo dhoka bhi mujhe yaad nahin
ye kaisī be-qarārī sunñe vāloñ ke diloñ meñ hai
varaq dohrā rahā hai kyā koī merī kahānī kā
ye kaisi be-qarari sunne walon ke dilon mein hai
waraq dohra raha hai kya koi meri kahani ka
hudūd-e-jism se aage baḌhe to ye dekhā
ki tishnagī thī barahna tirī adāoñ tak
hudud-e-jism se aage baDhe to ye dekha
ki tishnagi thi barahna teri adaon tak
haa.e us minnat-kash-e-vahm-o-gumāñ kī justujū
zindagī jis ko na paa.e jo na paa.e zindagī
hae us minnat-kash-e-wahm-o-guman ki justuju
zindagi jis ko na pae jo na pae zindagi
'shaukat' vo aaj aap ko pahchān to ga.e
apnī nigāh meñ jo kabhī āsmāñ rahe
'shaukat' wo aaj aap ko pahchan to gae
apni nigah mein jo kabhi aasman rahe
raat ik nādār kā ghar jal gayā thā aur bas
log to be-vaj.h sannāTe se ghabrāne lage
raat ek nadar ka ghar jal gaya tha aur bas
log to be-wajh sannaTe se ghabrane lage
phūñk kar saarā chaman jab vo sharīk-e-ġham hue
un ko is aalam meñ bhī ġham-āshnā kahnā paḌā
phunk kar sara chaman jab wo sharik-e-gham hue
un ko is aalam mein bhi gham-ashna kahna paDa
barq kī sho.ala-mizājī hai musallam lekin
maiñ ne dekhā mire saa.e se ye katrātī hai
barq ki shoala-mizaji hai musallam lekin
main ne dekha mere sae se ye katraati hai
jī meñ aatā hai ki 'shaukat' kisī chiñgārī ko
kar duuñ phir sho.ala-ba-dāmāñ ki koī baat chale
ji mein aata hai ki 'shaukat' kisi chingari ko
kar dun phir shoala-ba-daman ki koi baat chale