Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shauq Bahraichi's Photo'

Shauq Bahraichi

1884 - 1964 | Bahraich, India

One of the most prominent poets of humour/satire.

One of the most prominent poets of humour/satire.

Sher of Shauq Bahraichi

barbād gulistāñ karne ko bas ek ullū kaafī thā

har shāḳh pe ullū baiThā hai anjām-e-gulistāñ kyā hogā

barbaad gulistan karne ko bas ek hi ullu kafi tha

har shaKH pe ullu baiTha hai anjam-e-gulistan kya hoga

har mulk is ke aage jhuktā hai ehtirāman

har mulk hai father hindostāñ hamārā

har mulk is ke aage jhukta hai ehtiraman

har mulk ka hai father hindostan hamara

hamāre rahbarān-e-qaum-o-millat 'shauq' kyā kam haiñ

vatan meñ gar na koī barber hogā to kyā hogā

hamare rahbaran-e-qaum-o-millat 'shauq' kya kam hain

watan mein gar na koi barber hoga to kya hoga

abhī to hazrat-e-vā.iz mazammat mai karte haiñ

agar mai-ḳhāne meñ un guzar hogā to kyā hogā

abhi to hazrat-e-waiz mazammat mai ki karte hain

agar mai-KHane mein un ka guzar hoga to kya hoga

Recitation

Speak Now